Raat der tak jagne ke baais woh subah din charhay tak soti rahi aur aankh khuli bhi to mobile ki awaaz se.
Usne mandi mandi si aankhein kholi aur side table par rakha apna Pakistani mobile utha kar dekhne lagi. Wahan "Private Number Calling" jalta bujhta dikh raha tha.
"Uff... yeh phir peechay pad gaya." Aur usay pata tha ke jab tak uthaye gi nahi, woh call karta rahega.
"Hello?" Usne kohniyon ke bal uthte hue phone kaan se lagaya."Welcome back. Kaisi hain aap?" Wohi dheema, khoobsurat, gambheer lehja. Uski peshani par bal pad gaye.
"Kyoon phone kiya hai aap ne?"
"Aap ki dost ka suna tha, bohot afsos hua."
"Aindah aap ko kabhi afsos ho ya khushi ho, mujhe phone mat kijiyega."
"Aap itni bad guman kyun rehti hain? Aap agle bande ki poori baat kyun nahi sunti? Mujhe kehne to dein jo mujhe kehna hai!" Usay jaise gussa aaya tha.
"Dekhein! Main jaanti hoon ke aap kaun hain? Main yeh bhi jaanti hoon ke aap kis ke betay hain aur yeh bhi ke aap ka mere khandan se kya issue hai, magar baat jo bhi hai, uska mujh se koi waasta nahi hai. Aap aindah phone karenge bhi to main nahi uthaoongi. Khuda Hafiz."
Usne zor se button daba kar phone band kiya aur takiye pe uchaal diya. Pata nahi kaunsa gunah tha uska, jo woh shakhs uske peechay pad gaya aur apne saath bohot se maslay uske peechay laga diye.
Shaam mein Fatima ke be had israar aur phir naraaz hone ki dhamki ke baad Haya woh kamdar anarkali frock pehnay pe raazi hui jo rang ke farq ke saya tamaam ladkiyon ne mehndi ke liye banwaye the. Uska qatan tayyar hone ko dil nahi chah raha tha, magar Fatima ne uski ek nahi suni.
"Jo ho chuka hai, hum usay badal to nahi sakte. Phir logon ko khud par tamaskhur karne ka mauqa kyun dein? Fresh ho kar jao warna tumhari Tai koi na koi qissa bana dein gi."
Lamba Anarkali frock gehre sabz rang ka tha aur us pe dabkay ka silver kaam tha. Saath mein Sonia bhabhi ne usko apna sabz aur silver paranda baandh diya ke sab ladkiyan paranday pehen rahi thi. Silver teeka bhi Sonia ne hi uski peshani par sajaya, magar kisi bhi qism ke singhar ke liye woh qatan raazi na thi.
"Acha kajal to daal lo." Sonia uske saath seedhiyon ke upar khadi, usay kajal thamana chah rahi thi magar usne chehra peeche kar liya. Woh us waqt Taya Furqan ke ghar mein thi. Seedhiyon se neeche lounge mein har taraf rishtedaron ki chahal pahal thi. Mehwish aur Sehrish ki choti behan Sana camera liye idhar udhar bhaag rahi thi. Uska frock surkh color ka tha. Sonia ka apni badi ka tha, halka gulaabi.
"Nahi rehne dein bhabhi!" Usne bad dili se chehra peeche hataya. Chaandi ke gol teeke ne dhule dhulaye chehre ko saja diya tha.
Sonia ne udaasi se sar hilaya, jaise uska maatam kar rahi ho, aur seedhiyon se neeche chali gayi. Usne ek aakhri nazar aaine par daali. Kaamdar sabz dupatta kandhay par daala aur doosra pallu baen bazu se aage ko nikaal liya aur palat kar seedhiyan utarne lagi. Tab hi usne Jihan ko dekha. Woh sab se laa talluq sa apne mobile pe kuch parhta saamne se chala aa raha tha. Fatima uske liye do teen kurtay le aayi thi aur is waqt usne un mein se aik siyaah wala kurta zeb tan kar rakha tha, jiske galle par sunehray dhaagay ka kaam tha. Aasteen kohniyon tak mode woh koi message likh raha tha.
Woh sajh sajh kar bareek heel se zeene utarne lagi. Taqism wala waqia usay nahi bhoolta tha. Woh aakhri seedhi pe thi, jab Jihan ne sar uthaya, ek lamhay ke liye ruk kar usay dekha, phir uski taraf aaya.
"Haya..." Woh aakhri zeene par ek haath railing par rakhe thehar si gayi.
"Maine apni Somwaar ki flight book karwayi hai. Tumhari book to nahi karwani na? Tum wapas nahi ja rahi ho, right?"