Phone ko jakra, us ka haath paseene mein bheeg chuka tha. Yeh shakhs itni ajeeb baatein kyun kar raha tha? Aap.......... click kar dein. Bamusqil woh keh paai. Woh shakhs jhuka, shayad button dabane aur phir wapas peeche ho kar baitha.
"Kardiya"!
Oh thank you Major Ahmed! Us ka gala randhne laga tha.
"Ek baat poochun?"
"Ji?"
"Kya yeh video jaali thi?"
"Nahi..thi to asli."
"To aap itna dar kyun rahi thi?"
"Zahir hai yeh hamari family video thi aur shadiyon par dances ki video hum nahi banwate."
Kyun? Woh pay dar pay sawal kar raha tha.
Kya matlab kyun? Shadiyon ki videos circulate hoti hai har jagah, kya acha lagta hai hamare dance ki video paraye log dekhein?
Magar paraye log live to dekh sakte hai, ghaliban is video mein mujhe waiters, movie maker aur DJ nazar aa rahe the, woh bhi to paraye mard hain na? Main samajh nahi paya ke agar aap is tarah raqs karne ko sahi samajhti hai toh video ke bahar nikalne par pareshan kyun thi..Chaahe movie maker waiter, dj dekhe ya internet pe maujood mard baat toh ek hi hai aur agar aap isko galat samjhti hai toh aapne yeh kiya hi kyu..
Main aap ke samne jawab deh nahi hoon. Woh drashti se boli toh chand lamho ki khamoshi chaa gayi.. Theek kaha aap ne, khair! Usne ek gehri saans li.. Ek aur baat poochun? "Poochiye..." ab ke us ki awaaz mein ajnabiyat dar aayi thi. Kabhi koi aap ke liye jannat ke patte tod kar laya hai? Hum duniya walon ne jannatein kahan dekhi hain Major Ahmed! Us ke chehre par talkhi raqam thi.
Tab hi to hum duniya walay jaante hi nahi ke jannat ke pattey kaise rakhte hain. Kabhi koi aap ko laake de to unhein thaam lijiye ga. Woh aap ko ruswa nahi hone denge.
Us ke chehre ki talkhi sakoot mein dhalti gayi..wo theher si gayi..dhundli deewar abhi tak uske samne thi..Kaun tha us paar?
Aap sun rahi hain?
Hoon... Ji... Ji. Woh chonk kar sambhli. Main chalti hoon. Woh receiver kaan se hatane hi lagi thi ke woh keh utha.
Ek minute, ek aakhri sawal karna hai mujhe.
Woh utthte utthte wapas baith gayi "Ji poochiye."
"Aap mujhse shaadi karein gi?"
Usay zor ka dhachka laga tja. Woh gung ki phati phati nigahon se dhundhli deewar ko dekhe gayi.
Bataiye miss Haya...
Us ke lab bheench gaye. Hairat aur shock pe gussa ghalib aa gaya. "Miss Haya nahi, Mrs. Haya!" chuba chuba kar ek ek lafz bolti woh purse thaam kar uthi. Phone ka receiver abhi tak pakad rakha tha.
"Kya matlab..." woh wazeh chonka tha.
"Afsos ke mere bare mein itni maloomat rakhne ke bawajood aap mere bachpan mein hone wale nikah se laa ilm hai. Woh nikah jo mere cousin Jahan Sikander se mere bachpan mein hi padha diya gaya tha. Main shadi shuda hoon aur mera shauhar Turkey mein rehta hai."
"Oh aap ki woh rishtedar family jo kabhi Pakistan aayi hi nahi? Jaanta hoon, aap ki phupho ka khandan jo zillat aur sharmindagi ke maare ab shayad kabhi udhar ka rukh nahi karega. Aakhir karnaama bhi to bohat sharmnak anjam diya tha na.
Unka intezar kar rahi hain aap? Arey bachpan ka nikah to court ki ek hi peshi mein khatam ho jata hai."
"Shut up! Just shut up, Major Ahmed!" Woh chillayi thi.."Aap ki himmat bhi kaise hui yeh baat karne ki? Arey bhaad mein jayein aap aur aap ki woh video, aap bhale usey TV par chalwa dein, mujhe parwaah nahi. Mera ek kaam karne ki itni badi qeemat vasool karna chahte hai aap. Raha Jahan Sikander to woh mera shauhar hai aur mujhe use bohot mohabbat hai. Uske ilawa meri zindagi mein koi nahi aa sakta, samjhe aap?"
Receiver wapas patakhne se qabl usne dusre janib se uska so gawariyat bhara qehqaha suna tha. Pair patak kar woh darwazay ki janib badhi. Usi lamhe darwaza khol kar ek sipahi andar dakhil hua. Jo usay andar bithakar gaya tha? Goya usay foran ishaara kar diya gaya tha. Mulaqat khatam ho chuki thi aur Haya ke liye woh be had talkh sabit hui thi.
"Gaadi aap ka intezar kar rahi hai ma'am! Aaiye." Woh rasta chhod kar ek taraf ho gaya. Haya ne gardan mod kar dekha. Dhund ke us paar woh aadhe siyah jaise wala shakhs mez par jhuka kuch kar raha tha.Shayad kuch likh raha tha Usay laga usne uski mez par kisi surkh shay ki jhalak dekhi hai. Shayad surkh gulaabon ke guldaste ki ya shayad yeh uska waham tha.
Jis lamhe woh is purani car ki pichhli seat par baithi to khulay darwazay se usi sipahi ne usay ek surkh gulaabon ka bouquet thamaaya. Go ke us ke sath koi khat na tha aur woh phool bhi un safed phoolon se qata'an mukhtalif the, phir bhi usay yaqeen ho gaya ke woh gumnam khutoot bhejne wala Major Ahmed hi tha. Aur woh usay bohot pehle se jaanta tha.
"Yeh ja kar apne Major Ahmed ke munh par de maaro." Usne bouquet wapas sipahi ke bazuon mein phenka aur darwaza khatak se band kiya. Gaadi zan se aage badh gayi...
********
"Haya... Haya.."
Shaam mein Eram bhagti hui aayi. Khushi us ke ang ang se phoot rahi thi.
"Woh video us website se remove ho gayi hai" us ne farte jazbat se taqreeban bed crown se tek lagaye baithi Haya ko jhinjhor hi diya tha.
Magar kaise hua yeh sab?
Us website wale ko khauf-e-Khuda aa gaya ho ga, mujhe kya pata woh la parwahi se anjaan ban gayi. Hoon shayad; magar acha hi hua aur haan tumhari Turkey ki flight kab hai... Pata nahi pehle passport to mile phir hi visa milega... Us ko Eram ki mojoodgi se kufat hone lagi thi. Kuch us ke tasuraat se wazeh ho raha tha is liye Eram jald hi uth kar chali gayi. Woh phir se apni sochon mein ulajh gayi.
Major Ahmad... Us ka aadha jhalsa chehra... samne na aana... parde ke peechhe se baat karna... aur wo us ki ajeeb falsafiyana baatein... Jannat wagera ka tazkira... baaz purs karna... aur phir mujh se shadi ka sawal... aur phir shadi ka sawal..oh mere Khudaya...! Kaisa ajeeb aadmi tha woh... aur... aur us ki ek baat jis ke bare mein woh us waqt shadeed aleem e taish mein hone ke ba'ais sawal nahi kar saki thi.
"Aap ki phuppo ka khandan jo zillat aur sharmindagi ke maare ab shayad kabhi udhar ka ruk nahi karega. Aakhir kar namah bhi toh bohot sharmnaak sar anjaam diya tha na."
Kyoon kahi thi uss ne ye baat? Kaisi zillat aur sharmindagi kaisa sharmnak kar namah?
Phuppo ka khandan waqiatan palat kar nahi aaya tha. Toh kya uski wajah unke apne mulk aur khandaan se be zaarhi nahi thi, jaisa ke wo fayaz karti thi balke koi aur thi.. Kisi aamez kaam jo unhon ne sar anjaam diya tha, aur unhon ne kisne..phuppo ne..un ke shohar? Ya Jahan Sikander ne? Kya gutthi thi bhala? Magar Major Ahmed se wo istefdar kar nahi sakti thi naa hi us ka dobaara koi phone aaya tha.
Aur wo khatoot. Wo guldastey wo bho usi ne bheje the..
Use uske Sabanci jaane ka kaise ye ilm hua yaqeenan wo uski call tape kar raha tha jab Zara ko usne bataya tha aur wo us waqt yaqeenan uske bahar hi hoga magar wo guldasta toh kitchen ki table par rakha tha toh kya wo unke ghar bhi dakhil ho sakta tha aur uske kamre mein bhi...khauf ki ek leher ne use apne hassan mein leliya..wo utjkar apne kamre ka darwza lock karne hi lagi thi ke Fatima Begum darwaza kholkar andar aayi..
Haya, tumhare abba tumhe bula rahe hai..
"Okay, aa rahi hu" usne takiya par rakha dupatta uthakar gale mein daala sleepers pehne aur bahar aayi.