"Ankara itna hi khoobsurat aur saaf suthra sa shehar tha jitna ke Istanbul. Magar usse na woh shehar dekha na hi kuch aur. Aas paas kya ho raha hai, usay kuch khabar nahi thi. Uska dil, dimaag aur saari tawajjo bas ek nuqta par thi.
Aaj Jihan ka operation hai."
Usne Jihan ke hospital se do blocks chordkar ek hotel mein kamra liya tha. Bahare ko albatta woh hospital ke andar le ke nahi jaa sakti thi, aur usay hotel mein tanha chhorne ko dil nahi maan raha tha. Woh us bachchi ko kis ke paas chhore? Aur har maslay ki tarah us mein bhi usay Hale ka khayal aaya tha.
"Hale! Main kya karoon?" Phone par Hale ko thodi bohat jama tafree ke saath saari baat bata kar, woh ab us se madad mang rahi thi.
"Yeh to koi masla nahi. Meri nani Ankara mein rehti hain, jo address tum bata rahi ho, wahan se kaafi qareeb ghar hai unka. Tum subah bachchi ko wahi chhod diya karo, phir shaam mein le jaana. Chaho to tum bhi wahi reh lo."
"Oh! Hale ki nani. Spring break mein jab exchange students Turkey ki sair ko gaye thay, to un ke dorm block se jo bhi Ankara gaya, Hale ki nani ke paas zaroor gaya tha."
"Magar tumne waqai hi usko agwa to nahi kiya na?" Woh hanste hue poochhne lagi. Phir achanak jaise usay yaad aaya. "Woh hotel ke ground wala larka do dafa aaya tha. Maine bataya ke tum nahi ho, magar woh musar tha. Aur ek minute, tum to Izmir mein thi. Phir Ankara?"
"Oh haan, woh main aaj hi idhar aayi hoon magar use mat batana." Aur yeh baat to ab tak usne Jihan ko nahi batayi thi. Shayad is liye ke us se bade masail uske samne thay.
Hale ki nani, Sabiha Noor, itni hi mushfiq, milansar, aur mehmaan-nawaz khatoon thein jitni ke Turk awaam ho sakti thi.
Aur ek woh log the. Islamabad mein uski university mein kitni hi ghair mulki, bilkhusoos Turk larkiyan parhnay aayi hui thein. Majal hai jo woh kabhi kisi ko apna sheher ghumaane le gayi hoon. Pata nahi kyun, magar hum Pakistani students ke paas aise kaamon ke liye waqt hi nahi hota.
Sab se acchi baat yeh hui ke Sabiha aunty ne bataya ke Mrs. Abdullah, Meher, aur Urwa kal unke paas rehne aa rahi thi. DJ aur uski host family, pehla khana pulao aur masoor ki daal ka choorba. Baaz logon ka naam bhi kitaab ke sarwarq ki tarah hota hai, sunte hi yaadon ka ek be-karaan samundar har soo umad leta hai.
Sabiha aunty ko apna masla samjha kar ke ek dost ke liye usay hospital jaana hai aur Bahare idhar nahi reh sakti. Usne Bahare ko alag le ja kar chand aik hidayatain mazeed ki.
"Tum achi larki ban kar raho gi na?"
Bahare ne asbaat mein sar hila diya, albatta woh khush nahi lag rahi thi. "Tum mujhe roz chor kar chali jaya karo gi kya? Sab mujhe aise hi chor kar chalay jaya karte hain. Koi mujh se pyaar nahi karta."
"Uska pehle se dukhi dil mazeed dukh gaya ek dam se usay us phool si bachi pe baypanah taras aaya Pasha bey ke aamal ne uski family ko kisi football ki tarah bana diya tha Ayeshe apni behan ke liye pareshan thi magar woh kuch bhi nahi kar sakti thi.
"Main shaam mein aajaongi aur tumhein ek phone bhi la doongi ys se tum jab chaho mujh se aur Ayeshe se baat kar lena."
Theek hai chhoti bili muskuradi usay yak-guna tamanni ka ehsas hua.
Sabiha aunty ke ghar se woh hospital aagayi yeh ek private neoro centre tha aur woh admit ho chuka tha usne libas bhi tabdeel kar liya tha aur bas surgery ka muntazir tha abhi usay auti mein le kar jane mein zara waqt tha so operation se qabal woh usay dekhne aayi thi.
Khamosh tha chehra be-tasur magar zard ooti libas mein to woh aur bhi zyada pazimurda lag raha tha.
"Kaise ho..?" Uske samne khade woh bas itna hi puch saki.Jihan ne nigah uthakar use dekha..woh ab bed ke kinare pe baitha tha..