Suleiman sahab ko shaadeed qisam ka dil ka daura pada tha. Woh CCU (Cardiac Care Unit) mein the aur unki haalat theek nahi thi. Baaki sab kahaan the, use kuch nahi pata tha. Woh to bas dono haathon mein sar thame bench par baithi, roye ja rahi thi. Corridor mein kaun aa jaa raha tha, use hoshiyaar nahi tha. Woh phir se Taqsim First Aid Hospital ke sard, maut ke sunaye jaise corridor mein pahunch gayi thi.
"Woh ab behtar hain. Yakeen karo! Woh theek ho jayenge." Jihan uske saath bench par baithte hue bola. Raat se wohi tha jo saari bhaag daud kar raha tha. Taya waghera to subah aaye the aur ab tak poore khandan ko woh wajah bhi pata chal chuki thi jo Abba ki bimari ka sabab bani thi.
Rohail ne shadi kar li thi.
"Thik hai! Bahut se ladke America mein shaadi kar lete hain. Sab ke walidain ko heart attack nahi hota, magar Rohail ne do saal se shaadi kar rakhi thi... aur sab se barh kar usne ek Nepali Buddhist se shaadi ki thi. Abba qadre roshan khayal the, magar apni aqdar aur mazhabi hadon ka paas unhein bahut tha. Rohail ke hawale se unhone bahut se khawab dekhe the. Bahut maan tha unko us par. Woh ek dafaa kehta to sahi, magar usne khud hi saare faisle kar liye. Shayad woh jaanta tha ke kehne ka koi faida nahi, kyunke woh ladki Buddha ki pirowar thi. Musalman to chhodo, woh to Ahl-e-Kitab bhi na thi ke aisi shaadi jaiz hoti. Woh musalman hone ko tayyar na thi aur Rohail usko chhodne par raazi na tha. Apni hadood ko waqf banane pe Abba ka dukh alag. Jihan se tasdeeq kar lene ke baad unhone Rohail ko phone kar ke jab pooch taach ki to phir talkhlaaami se hoti hui baat baap betay ke ek sangin jhagday tak pahunch gayi. Abba ne gusse mein use sakht buray bhalaay kaha aur phir har talluq tod diya, magar phone call ki door tootne se pehle hi woh dhay gaye the. Phupho aur Fatima is saare maamlay ki gawah thi. Maloom nahi woh kyun soti reh gayi.
Jab main Rohail ke paas raat raha tha, tab us ladki ne mujhe treatment di thi. Unhone kuch nahi bataya, magar main jaan gaya tha ke unke darmiyan kya hai. Uske koi dedh saal baad unhone shaadi ki thi. Yeh mujhe baad mein America mein muqeem ek dost ne bataya. Kitni der aisi baatein chhup ti hain. Mamu ko bhi kisi azeez se khabar mil hi gayi."
Woh nam aankhon se sir haathon mein diye sunti rahi. Use Rohail ya uski biwi mein koi dilchaspi nahi thi. Use sirf Abba ki fikar thi. Dhai mahine qabal ka waqiya phir dohraaya jaane laga tha kya? Woh phir ilamati khushboo mein ek mohabbat ko khone lagi thi kya?
Jab mushkil se unhein Abba se milne ki ijaazat mili, tab woh ghanoodgi mein the aur woh unke qareeb baithi andar hi andar ro rahi thi. Aankhein kushk ho chuki thi, magar har aansoo aankh se to nahi girta na. Shayad agar Abba ke dost Zeeshan Uncle milne na aaye hote to woh aankhon se bhi rone lagjati, magar un sab ke samne khud ko mazboot zahir karna tha.
Fatima nidhal thi, magar Sabin Phupho bahut himmat se kaam le rahi thi.
"Suleiman bahut mazboot hai beta! Fikar na karo, woh theek ho jayega."
Zeeshan Uncle ko chhod kar woh Fatima ke saath baahar tak aayi to woh tasalli dene lagay.
Woh Abba ke sabse achhe dost the. Woh unhe zyada nahi jaanti thi, magar Fatima waqif thi. Unke saath unki beti bhi thi, pandrah solah saal ki Rija jo qud aur zehni tor par apni umar se peechay thi. Qadare abnormal bachhi jo ghunghraale baalon wala sar jhukaaye musalsal akhbar pe qalam se kuch likhti rahi thi.
"Rija bahut zaheen hai. Uski nigah ko apni beti pe paakar Zeeshan Uncle muskaraakar batane lage. Ise word puzzle aur cross word khelne ka bahut shauq hai. Pura chart hal karne mein kai din lagati hai, magar kar leti hai."
Woh pheeki si muskurahat ke saath sunti rahi. Woh apni beti ko hamesha apne saath rakhte the, chahe ghar ho ya office, mohabbat thi ya fikar ya phir dono.Un ke jaane ke baad woh kuch der ke liye ghar aayi thi. Ghar pe wahshat aur veerani chhayi thi. Jaise sab kuch thum gaya ho. Woh abhi abaya utar hi rahi thi ke phone bajne laga. Private number calling. Us roz ke baad Major Ahmed ne aaj call ki thi, magar usne call kaat di. Woh baar baar phone karne laga, magar Haya ne phone band kar diya. Woh us aadmi se koi raabta nahi rakhna chahti thi. Zaroorat hi nahi thi.
