part 37

1.5K 52 8
                                    

Naram lehje se use side table par rakhne ki aawaz aayi wo hili tak nahi..Neend achi hai lekin zyadaati agar achi cheez ki bhi ho to nuqsan deh hoti hai. Ye kheere ka soup hai aur saath nashta.

Haya hanooz aankhon pe hath rakhe leti rahi.

Aur ye Abdul Rahman ki call hai, woh tumse baat karna chahta hai.

Usne baazu chehre se hataaya. Sabz scarf chehre ke gird lapete, neeche surmai aur gulabi phoolon wali skirt pe lamba white sweater pehne hue woh haath mein pakda card-less phone uski jaanib barhaye hue thi.

"Lo, baat karo." Uske kam umar chehre par masoomiyat bhari shaffafiyat thi aur uski aankhein jo raat mein Haya ko bhoori lagi thi, subah ki roshni mein sabz lag rahi thi. Woh duniya ka sabse shaffaf, sabse khoobsurat chehra tha. "Mujhe usse baat nahi karni." Usne kaha to uski aawaaz behti hui thi. Bahut cheekhne ke baais ab gala jawab de gaya tha.

"Wo keh rahi hai, use tumse baat nahi karni." Usne phone kaan se laga kar narm lehje mein angrezi mein bataya.

"Wo keh raha hai, ek dafa uski baat sun lo."

"Usse kaho, jo usne mere liye kiya, main uski ehsaanmand hoon, shukar guzar hoon lekin agar wo mujhe aise takleef dena chahta hai to main abhi isi waqt uske ghar se chali jaungi." Wo be had naraazgi se kaha.

Ayesha Gul ka chehra jo waise hi narm aur shaffaf raha. Usne sun kar phone kaan se lagaaya aur saari baat man-o-man angrezi mein dohraadi. Phir phone band kar diya.

"Wo keh raha hai ke wo India mein zara phans gaya hai, wo idhar nahi aa sakega aur aayega bhi nahi agar tum ye nahi chahti aur tum jab tak chaaho idhar reh sakti ho. Main yahan baith jaaon," usne card-less ko table pe rakhte hue kursi ki taraf ishara kiya.

Woh na ajnabi se jaldi ghul milti thi aur na hi use Pasha ke ghar walon se raah-o-rasam barhane mein dilchaspi thi lekin us ladki ka chehra itna narm aur dostana tha ke khud ba-khud uski gardan isbaat mein hil gayi.

"Shukriya." Wo usi madhur muskurahat ke saath kehkar kursi pe takiya lagakar baith gayi, safed sweater mein muqeed kohnian kursi ke dono bazuon pe rakh di aur hatho ko ek doosre mein phansaye hue aadi tor pe apni anguthi ungli mein ghoomane lagi.

"Tumhari tabiyat ab kaisi hai?"

"Theek hai." Wo kohnion ke bal zara si seedhi ho kar baith gayi thi.

"Tum Abdul Rahman ki taraf se pareshan mat hona, usne kaha hai ke nahi aayega to nahi aayega. Jo usne tumhare liye kiya, wo uska farz tha. Safeer ki family se hamare purane taalluq hain. Jab tumne Safeer ko phone kiya to usne foran Abdul Rahman ko approach kiya, yun police ki madad le kar wo tumhe wahan se nikal laaye."

"Mujhe kisne aghwa kiya tha?" Wo bohot dair baad bas itna hi keh paayi.

"Yahan bohot se aise giroh hain jo Russia, Maldives aur Ukraine se larkiyan aghwa kar ke ya dhoka se idhar laate hain. Uske ilawa, un tourist larkiyon ko jo kisi gareeb mulk se hoti hain taake unke ghar wale Turkey aakar zyada der tak case ka taqab nah kar saken, unko bhi ye aghwa kar lete hain. Ek dafa inke paas pohinchne ke baad sab larkiyan Natasha ban jaati hain. Aur ye un Natasha ko aage bech dete hain aur unse White Slavery karwaayi jaati hai."

Usne takleef se aankhein moond lee. Usay yaad aa gaya tha. Natasha, Turkey mein kaam karne wali Russian call girl ko kehte hain.

"Tum chhodo ye sab apne ghar phone kar lo. Do din ho gaye hain, tumhe unhein apni khairiyat ki ittila to deni chahiye."

Usne jawab nahi diya. Bas khaali khaali nigaahon se khidki ke jaali daar parde ko dekhte rahi jo hawa se dheere dheere phad phad phada raha tha. Uske paas jawab tha bhi nahi. "Main aur Bahare jungle tak ja rahe hain, tum chalogi?"

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now