part 56

1K 34 10
                                    

Usne hamesha giraftari ke imkaan ko mad e nazar rakha tha magar 'RAW' ki tahweel aur tashadud kya hota hai, yeh use tab maloom hua jab usne apne aap ko unki hirasat mein paya.

Ek maqami bank ke bahar woh apne muqarrar shuda waqt par 'dost' se milne aaya tha. Doost se murad uska koi friend ya azeez nahi tha jisse uski dosti thi balki woh apne mulk ke agents ko 'dost' kaha karte the. Us maqami doost ko us tak chand ashyaa pohanchani thi. Waqt, jagah sab kuch dost ka muqarrar karda tha. Woh pehle bhi is sathai jasoos se kai baar mil chuka tha. Woh tees batis saal ka khush-shakal sa Pakistani tha, jo Bharat mein Bhartiyon ki tarah hi reh raha tha. Usko dekh kar kabhi Jihan ko nahi laga tha ke yahi dost usko yun dhoka dega.

Waqt muqarrar par usse bulakar woh khud nahi aaya. Woh us jagah ke qareeb hi intezar karta raha, jab tak dost ne nahi aajana tha, woh udhar se nahi ja sakta tha, magar phir ek dum se peechay se kisi ne uske sar par kuch de maara aur woh zarb itni shadeed thi ke woh chand lamhon ke liye waqai mein sambhal na saka aur bas... woh chand lamhe usse zindagi ke badtareen daur mein le gaye.

RAW ki tahweel jo jahannum se bhi badtar thi.

Woh uske behosh hotay wajood ko ghaseet-te, dhakel-te usko apne sath le gaye. Haath, aankhein sab baandh diya tha.

Woh andha, mafuluj ho kar reh gaya tha. Woh itne saare ahlkaar the aur woh akela tha. Woh unse nahi lad sakta tha. Us pehli hi zarb ne usko bebas kar diya tha.

Kahin kisi imarat ke andar ek kaal kothri numa cell mein le ja kar uski aankhon se patti utaari gayi, phir ek officer ne usko baalon se pakad kar chehra ooncha kiya, munh pe lagi tape utaari aur plastic ke qisam ke aale se uske har ek daant aur daadh ko baari baari kheenchha. Jaise hi woh aala naqli daadh pe aaya, zeher bhari daadh kheench kar alag ho gayi. Yeh naqli daadh lagane ka tareeqa duniya ki har intelligence agency mein paaya jaata hai, isliye har agent ko giraftar karte hue woh sabse pehle uski daadh alag karte hain. So unhone Pakistani jasoos ko qareeb karte hi sabse pehle uska farar ka ekla raasta khatam kiya, phir dobara se uski aankhon par patti baandh kar use apne saath chalate bahar le gaye.

Aisi jailon mein qaidi ke farar ka har imkaan khatam karne ke liye, ke kahin woh tahweel-e-tashteesh se apne cell ka faasla aur simt na jaan le aur is tarah farar hone ka koi mansoobah tayar na kar le, usko har chand kadam ke baad latu ki tarah ghoomaya jaata taake woh simt kho de aur phir woh aage chalade. Use training ke doran bataya gaya tha ke aise mein kya karna chahiye. Apne kadam ginen chahiye, aur aas paas ki khushboo sunni chahiye. Aawaazein sunni chahiye. Usne yehi kiya. Har taraf kahin na kahin koi na koi aawaaz thi. Phir jab qareeban saath kadam ho gaye to woh use ek kamre mein laaye, kursi pe bithaya aur haath paon kursi ke saath baandhe phir aankhon se patti utaari.

Tareeki se tez roshni. Uski aankhein chandhiyagayi. Samne mez pe ek bade reflector mein laga bulb roshni ke torture ke liye istemal ho raha tha. Uski roshni se aankhon mein takleef hoti thi. Usne be ikhtiyaar chehra peechay kar ke aankhein sukedi aur samne dekhna chaaha. Mez ke us paar ek aadmi kursi par baitha tha jo apne hale se koi aala officer lagta tha. Mez pe ek painter se milti jalti cheez bhi rakhhi thi.

Ek taraf deewar mein sheesha laga tha. Jihan ne zara si gardan modh kar udhar dekha, use us aaine mein apna aks nazar aaya tha, magar woh jaanta tha ke yeh uski taraf se aaina tha, jab ke uski doosri taraf yeh sheesha ka kaam de raha tha. Yani andar baitha aadmi ismein apna aks nazar aayega, lekin jo officers aur psychiatrist us sheeshe ke paar khade honge, woh usko sheesha ki tarah istemal karte hue ismein se andar ka manzar dekh rahe honge.

Wahan hone wali tamaam guftagu angrezi mein hoti thi. Unhone us pehli guftagu mein usko bataya ke uske paas farar ka koi raasta nahi hai. Unki jailon se marda ya apahaj hokar hi log nikalte hain. Woh jaante hain ke woh pak spy (Pakistani jasoos) hai, isliye woh sab sach sach bata de. Is surat mein woh iske saath riayat baratain gey.

Jannat ke Pattey | COMPLETEDWhere stories live. Discover now