Mummy usse mil kar bohot khush hui. Hona bhi chahiye tha, magar sara mahol tab badal gaya jab wo apne baap aur tayya wali tanziya tone mein unko ehsaas dilane lagi ke wo rishtedaron ke saath banakar nahi rakhte. Wo bazahir kaam karte hue sab sun raha tha. Gussa aaya aur afsos bhi hua, agar mummy samne nahi hoti to phir usse batata ke kisne kis se rishta toda tha.
Phir us ladki ne abba ke army se taalluq ka poocha. Ya to wo nahi janti thi, ya phir tanz karne ka koi aur bahana. Uske andar mazeed talkhi bharti gayi. Wo shayad waqai ye rishta nahi rakhna chahti thi. Pehle uska irada sirf phool bhejne ka tha, magar us sari talkhi guftagu ke baad jab wo phool lene gaya to dakhli darwaza ke andar ki taraf rakhe stand se qalam kagaz uthaya, aur mote gate ke grocery likhne ke pad par Valentine ka paigham likh kar andar daal diya. Yeh uska tareeqa tha badla lene ka. Aur wo bhi jaise wahan se bhagna chahti thi. Ek minute bhi nahi ruki. Khana bhi adhoora chhod diya aur chali gayi. Apne kamre ki khidki se wo use us waqt tak jaate dekh raha tha jab tak wo sadak pe door nahi chali gayi.
Baad mein mummy bohot khafa hui. Wo apne bete aur uske andaaz ko bohot achi tarah pehchanti thi. Magar wo unki sarzanish aur sari khafgi ko suni an suni kar gaya. Use laga use Suleiman mamoon ki beti ke saath yehi karna chahiye tha, lekin phir baad mein use nahi pata kyun afsos hone laga. Usme izafa tab hua jab mummy ne Fatima mami se phone par baat ki to unhone bataya ke Haya ko uski dost achanak hi wahan le gayi thi. Us waqt jaldi mein thi. Baad mein tasalli se us hafte kisi din aayegi, tahaif waghera bhi isi liye nahi la saki. So wo magroor ladki apni marzi se waqai hi nahi aayi thi. Khair, ab kya ho sakta tha?
Wo aaj kal Istiklal Street mein hi hota tha. Ye gali mafia raj ke liye khaas mashhoor thi. Chhote chhote bhikari bacche jo bheekh maangne ke bahane se tourists ke qareeb aate aur purse chhin kar bhaag jaate. In bacchon se lekar drugs bechne walon tak, sab organized crime ka hissa the. Burger King Tayib Habib ka tha. Magar us ka intizaar bhi Jihan hi sambhalta tha. Jab use deactivate hona padta, wo yahin aakar chhup jaata. Kitchen mein khade hokar aam se hulye mein sara din chand workers ke saath kaam karte hue ye andesha kabhi na tha ke koi Adalar ka banda use yahan aakar pehchaan lega. Istanbul bohot bada sheher tha.
Itna bada ke insaan usmein gum ho jaye. So yeh taash ke patton ke saare ghar bohot achhe se chal rahe the aur uska iraada is dafa Haya ke apne ghar aane pe usse milne ka tha taake woh zara tameez se baat karke apne pichle rawaye ki maazrat kar le. Magar isse pehle Pakistan se call aa gayi.
Pakistan ki call to hukam ka darja rakhti thi. Aisa hukam jis pe aankhein band karke amal karna hota. Chahe aap mar bhi rahe hain, order, order hota tha. Ab use kaha gaya tha ke use do din ke liye Islamabad aana tha. Weekend tak wo wapas aa jayega. Koi ahem briefing thi. Ab jis tarah bhi aaye, foran aaye.
Us shaam usne apna tracker check kiya to Haya Taqsim ke qareeb hi thi. Gorsim bas use Taqsim hi utaarti thi. Wo Gorm Sultan ka saara schedule net se dekh kar hifz kar chuka tha. Matlab abhi wo Taksim par utregi. Agar wo wahin usse mil le aur weekend pe ghar aane ka keh de to wo uski mojudgi mein hi aayegi. Agar ghair mojudgi mein aati to abba ka kuch bharosa na tha. Wo jaante the ke wo Pakistan jaata hai aur wo Adalar bhi jaata to bhi unki zubaan pe uske liye sirf gaaliyan aur lanatein hi hoti ke wo Pakistan kyun jaata hai. Wo nahi chahta tha ke Haya aisi koi baat sune.
Isliye us barasti baarish mein wo uske liye Taksim aaya tha. Aur chunke usse mil kar wo ferry le kar Adalar chala jayega, tab hi usne apna briefcase bhi saath rakh liya tha. Is waqt wo mukammal executive lag raha tha, aur abhi wo Haya ko apna yahi cover batana chahta tha, ke wo Buyuk Ada ke ek hotel mein kaam karta hai. Burger King wali baat abhi use nahi batayega, usne tay kar rakha tha.
Woh jab metro ki seediyon pe thi to Jihan ne use door se ladkhadate hue dekha. Tab usne uski ek tasveer kheench li thi. Kabhi baad mein woh use woh tasveer dikhayega ke haan, woh is waqt bhi uske saath tha jab uski jooti tooti thi. Woh use pasand kare ya na kare, woh uske saath tha.