Chapter 84

4.9K 376 15
                                    

Sana was beyond hurt what type of behavior is he showing he can't digest even if she talks to anyone forget gelling up with them and what he himself  doing is much worse than that he gets hurt when vishal talks to her he feels bad about it but when he himself do something like this is it right .

Sana (thinking)-ye khud ka sahi hai iska maine kuch kia nahi koi aake mere se baat kare mai nahi kar sakti nahi mai jawab de sakti hoon par ye khud kuch bhi kar sakta hai kya isse feel bhi hota mujhe kitna hurt hota hai mana ki maine vishal se baat ki usse wo nahi pasand par hum ek game mein khud hi to bolta hai ki game hai to sab se baat to karni padegi na aur jin logo ke saath wo baitha hai wo log nahi pasand karte mujhe humesha neecha dikhate hai girane ki koshish karte hai to mai kaise unke saath rehti hoon at least ye log mere saamne sid ki burai nahi karte nahi kuch aisa bolte hai mere se sahi se baat karte hai .

Upar se shefali ke saath baitha hai uska past tha uske saath mana ki ab kuch nahi dono ke beech par jaise wo baith ti hai uske saath jaise uspar haq jatati hai wo mujhe uncomfortable feel hota hai mai kaise dekh sakti hoon apne pati ko kisi aur ke saath waise bhi iss ghar mein almost jitni ladkiyaan hai iski to mai kya karu kya dil nahi hai mere andar dard nahi hota mujhe khud ko bura lagta hai jab koi mujhsde baat bhi karta hai par khud ka kya mai bhi inssan hoon bohot helpless aur akela feel ho raha hai kaash maa hoti yaha mujhse nahi ho raha ye sab .

She holds her head in both hands and silently crying Sid came and saw her holding her head he wanted to go to her he went near basin and act like he is washing his face he was preparing himself to talk to her as he was feeling guilty after he talked with her in such a rude way but just then Vishal walked in and saw Sana there till then sana didn't saw both of them as she was lost in her thoughts and trying to calm herself .

Vishal- sana kya hua aise kyu baithi hai sab thik hai na .

Sana saw him and just then her eyes met with Sid they both saw each other their was hurt in  their eyes it was like both were speaking with their eyes .

Sid (himself )- isse kyu samjh nahi aata ki mujhe ye vishal nahi pasand phir bhi iske saath hi baith na hai isse baat karni hai kya tujhe mera hurt nahi dikhai deta feel nahi hota par nahi phir bhi issi ke saath baithi hai to mujhe gussa nahi aayega kya .

Sana(herself)- par mai uske paas nahi gai wo mere paas aaya ye nahi dikhai deta tujhe kyu dikhega tu busy hai na apni ex ke saath ye mera kuch nahi lagta na hi mera koi past hai iske saath tujhe b hi pta hai ki ye kisi aur se pyaar karta hai tab bhi isse itna fark pad raha hai mujhe kitna feel hota hoga jab mai tujhe teri ex ke saath dekhti hoon aur uske saath saath un logo ke saath baith ta hai jo mujhe neecha dikhane ka ek bhi mauka nahi chodte humesha bura bolta hai mere baare mein mere character ke baare mein mai kaise sun n kar unke saath rahu aur par tujhe fark nahi padta chahe mujhe kitna bhi hurt ho aaj bhi mahira ne kitna bola par tu sun raha tha .

Sid- (himself)- to kya karta ladta usse hum ek game mein hai ye sab to hota rahega aur pehle bhi hua hai tune pehle bhi jawab diya hai na  usse to aaj kya hua aaj bhi de deti .

Sana(herself)- tu nahi samjhega tujhe samajh nahi aa raha na ki mai kyu react nahi kar paai itna faasla aa gaya hai hum mein ki tujhe meri khaamoshi ki wajah nahi pta hai .

Sid(himself)-to bta kya baat hai .

Vishal shake sana hard making their eye lock break .

Vishal- kya hua sana kaha khi hai pichle 10 minute se bula raha hoon kaha dhyaan hai tera.

Sana- kahi nahi wso bas sir mein dard hai thoda sa.

Vishal- bas itni si baat laa mai maalish kar doon .

Sana- nahi abhi mood nahi hai tu bta kya bol raha tha .

Vishal- wo baad mein pehle tu shaant ho jaa mujhe pta hai koi baat tyjhe pareshaan kar rahi hai aur tu discuss nahi karna chahti i respect that and side hugged her .

Sana weakly smiles at him .Sid saw all this and again get angry on vishal and after spitting fire on him through his eyes he left but not before giving them a look  

Vishal- tu tension na le ye ghar hi aisa hai yaha roz kuch na kuch hota hai tu jyada na soch dekh abhi abhi tu recover hona start hui hai to dubara tension mat le .

Sana- haa bas mujhe maa ki yaad aa rahai hai wo yaha hoti to mai unse baat karke man halka kar leeti wo maa hai na to wo sab jaanti hai aur unke paas na jaadu hai wo sab problems ka solution chutki mein nikal deti hai aur har chees sambhal leti hgai abhi to mujhe sab bhikarta nazar aa raha hai darr lag raha hai ki kuch hone wala hai pta nahi par ye jo feeling hai bohot gandi hai mai nahi feel karna chahti aisa kuch bhi na hi kuch negative sochna chahti hoon .

Vishal- to mat soch tu waheguru ko maanti haina sab un par chod de tu hi to bolti hai wo sab par meher karte hai sabka dhyaan hai unhe to tu to best hai to tujhe problem mein kaise chod sakte hai .

Sana- haa wo to hai bas ye hi soch kar shaant hoon tu mujhe ye bta kya baat karne aaya tha bta ab .

Vishal- abhi nahi abhi tu khud pareshaan hai baad mein baat karte hai .

Sana- nahi bta mera mind bhi divert ho jaaye kya pta .

Vishal- wo madhu ko le kar baat karni thi tujhe pta hai ki pyaar to dono side se hai par dono ki ego hai beech mein mujhe ye samjh nahi  aa raha ab kya karu khtam kazrne ki koshish ki par nahi hua saath rehne ki wo bhi nahi .

Sana- thoda samjho ek dusre ko usse baat kar usse ye feel karwa ki wo important hai tere liye tu jaanta hai ki ego hai  to kahi tu jhuk jaa kahi wo kyuki rishta ek side se nahi nibhta dono side se efforts jaroori hai aur tum dono adult ho pta hai ki kya sahi hai kya galat bas sab dheere dheere aage le kar jao jaldi nahi time do khud ko iss rishte ko kyuki rishta todna aasan hota hai par use nibhana bohot mushkil hota hai . just then rashmi called for vishal he said he is coming.

Vishal- haa sahi bol rahi hai chal mai dekhta hoon usse baat karke aur haa ye advice khud par bhi lagana rishta ek side se nahi nibhta.

Sana got lost in her thoughts....

.

.

.

here is the next update hope you will like it . 

Sidnaaz an emotionजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें