Chapter 106

4.7K 322 19
                                    

Next morning Sana was in happy mood she wake up by morning song and dances on it heartily sid was happy that whatever happened in last two days the comments of shefali and aarti made her upset but last night the jaloos salman sir and his wife take out of him make her happy and he is fine with that if by doing such little things she got happy then he is ready  to let her do everyday .

 Sana got ready and was sitting in dining area having her breakfast while sid just ate he was sitting with her to let her finish it first while there was fight began between rashmi and paras while asim and vishal were supporting rashmi . Mahira and shefali were in paras support .

Rashmi- ayee paras apna kaam sahi se kar tu kar nahi raha hai mai dekh rahi hoon teri wajah se baakiyon ka kaam bhi atak jaata hai .

Paras- tu captain nahi hai jo mujhe bol rahi hai aur mai apna kaam jab chahe karu tu beech mein bolne wali kon hai .

Mahira- haa inhe aadat hai na wo saas bahu serial ki tarah toka taki karne ke liye tabhi to humesha har kisi ke kaam mein bolna hai inhe .

Vishal- mahira tum to bolo hi mat tum to iski chamchi ho jo ye bolta hai wohi karti ho to tum apna gyan na kahi aur jaake baantna .

Mahira- tameez se baat karo aur tum beech mein kyu bol rahe ho .

Vishal- tameez se tum baat karo pehle rashmi tum se badi hai atleast is cheez ka to lihaaz karo par nahi aur mujhe bol rahi hai tameez se baat karo aur rahi baat beech mein bolne ki to shuru tum ne kia hai baat rashmi aur paras ki chal rahi thi tum beech mein khud hi aai agar tum paras ki taraf se bol sakti ho to mai bhi rashmi ki taraf se bol sakta hoon .

Shefali- par rashmi kisi ko bol nahi sakti ki tum kaam karo wo kaam captain ka hai to wo kyu apna alag chala rahi hai ,ye asim bhi to nahi kar raha hai usse to nahi bol rahi hai .

Asim- mera kaam alag hai aur mere back mein pain hai aaj isliye nahi kia aur mere kaam se kisi ka kaam nahi ruk raha hai jaise paras ke kaam se ruk raha hai .

Paras- to mai chahe jab karu ya chahe na karu tu apne kaam se kaam rakh nalla kahin ka .

Asim- nalla kis ko bola haan apni had mein reh .

Paras- tu batyega meri hadd kya hai .

Rashmi - maine sirf kaam ko bola jo ki teri duty hai wo koi apna kaam nahi dia hai .

Mahira - to mat bolo aap kon ho bolne wali ek kam hai ghar mein natak karne ke liye said eyeing sana .

Sana got furious at this as she was silent as she didn't want to get involve in the fight but when mahira point out at her she looses her calm sid hold her hand and nodded in no was asling to let go of it .

Sid- jaane de baby wo jaan kar kar rahi hai tu react mat kar .

Sana- usne mujhe bola kaise maine kuch kaha nahi na mujhe fark nahi padta wo aapas mein lade mare par mere baare mein kyu boli har baat mai sunke lene wali nahi hoon  .

Sid-  baby sun rehene de jo bola chod abhi .

Sana- kyu teri team hai isliye bol raha hai mai nahi sunne wali usne bola kaise.

Sid- pagal ho gai hai teri team meri team humarfe beech ye sab kaha se aaaya .

Sana- mujhe kuch nahi pta mai use bolungi agar tu rokna chahta hai mat kar  tu apna game khel mai apna game khelti hoon .

Sid- pagal ho gai ho akal kya ghaas charne gai hai kaisi baat kar rahi hai .

Sana- haa gai ghaas charne and she went towards mahira .

Sana to mahira - kya boli himmat hai to saamne se bol kya bola natak karti hoon haa karti hoon natak jo hota hai ukhaad le .

Mahira- aa gai na apni aukaat par tu yahi hai bas natak karna aata ahi drame kar walo aur dusro ke maamlo mein taang adao aise hi to footage milti hai tujhe .

Sana- oyee jaa oye tere jaisi na sattar dekhi hai tere se footage lungi mai marr na jau tujhse footage lungi jo khud kisi aur ke sahare chal rahi hai mai usse footage lungi itne bure din nahi aaye mere.

Vishal- mahira tera na jyada ho raha hai bas tera paras jaap lkhatam nahi hota aur baakio mein ghusna hai .

Paras- wo kisi mein nahi ghusti hai ghuste tum log ho saale loosers .

Sana- looser kisi bola haa ek baar apna mooh dekh shishe mein jaakr duniya ka sabsde bada looser nazar aa jayega tujhe mere se sa faltu pange mat lo dono warna acha nahi hoga .

Mahira- dhamki de rahi hai .

Sana- haa de rahi hoon sareaam de rahi hoon jo hota hai ukhaad le samjhi .

Shefali- sana ye jyada  ho raha hai tum aise baat nahi kar sakti .

Sana- haa tum ,log kar sakte ho kisi ko kuch bhi bolo kisi ke character par jao par mai ye bhi nahi bol  sakti jaa kar na ye double standard kisi aur ko dhikhana .

Aarti- kya double standard sana sab ko ek saath mat ghseet in sab mein dekha sid ye hai hi flipper jab dedkho flip kar jaati hai ab isse unke saath rehne ka man hai to kaise humare khilaaf bol rahi hai .

Paras- haa bhai ye hai hi aisi ghatiya iss liye to pehle hafte mein hi chod diya tha maine isse .

Sid- bas karo sana chal yaha se .

Sana got hurt that the words Paras use for her didn't hurt her much but silence of sid on that hurt her.

Sana- tu jaa apni team ke saath mai akeli hi thk hoon  .

Sid- sana over ho raha hai ab .

Sana-  haa mai hoon hi over sab kuch over karna aadat hai meri aap apni team ke saath jaaye gappe ladaye mujhe akela chod de mai manage kar lungi .

Sid- bas hadd hoti hai kab se jhle raha hoon isse jyada natak nahi bardasht hoga mujhse .

Sana- haa mai natak karti hoon aapki bohot achi image hai bahar mere saath mat raho warna kharab ho jaayegi .

Sid- sana mat kat mai bol raha hoon .

Sana- shuru tune kia hai ab bill mujh par mat phaad samjha .

Sid - maine pagal ho gai ho rok raha tha na mai issiliye kyuki dimaag to hai mahi tum mein par sun to sakti ho par nahi .

Sana- nahi hai dimaag na hi chaiye tu apne dimaag wale friends ke saath jaa kar baith mujhe rehne de aise hi .

Sid- jo karna hai karo and went from there sana was hurt that he didn't said a word to paras about how he spoke to her instead fight with her.

Vishal- arre bachha udaas mat ho hum hai na tu akeli nahi hai hum sab saath hai tu tension na le .

Rashmi- haa sana koi baat nahi hota rehta hai aur paras to hai hi ghatiya usse umeed karna ki wo ahi baat karega bekaar hai aur shefali aur mahira ko to koi aur kaam hai nahi iske alawa aur aarti ko to jaha footage mile chali jaati hai tu tension mat le .

Asim- haa wo sid gusse mein bol gaya .

Vishal- chal ab has ke dikha .

Sana- mai thk hoon aati hoon abhi she went in the bathroom area.

Both were wrong in the fight but sana reacted even after sid told her not to and that lead a fight between them both said things to each other both get hurt by each other but this time sana is at more fault because sid warned her before but she didn't listen to him and sid looses his calm when he listen to paras taunt he want to break his bones at that time but he can't he knows that he didn't speak it hurt her but didn't he warn her before only .

.

.

.

Here is the next update hope you will like it .

Sidnaaz an emotionजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें