Chapter 100

5.5K 397 45
                                    

Next day there was a task related to elite club membership and it was held between Sana and Asim as they both got highest points in comedy club task so Hina khan  an ex contestant came into the house  s task was like this that both have to prove to Hina that they are more capable than other one so task get started and Hina allowed  each one of the one member to spoke in favor of them .

Asim got rashmi while sana got aarti .

Rashmi speak first- sana jo hai wo bharose layak nahi hai wo flip marti hai kabhi kisi ki taraf kabhi kisi ki wo ek team mein reh hi nahi sakti hai wo wohi karti hai jo use acha lagta hai chahe dusra hurt ho use koi fark nahi padta aur ye membership us insaan ko milni chaiye jo team ko ek saath le kar chale ye to kabhi bhi flip maar deti hai kabhi sid ke saath kabhi asim ke saath kabhi paras ke saath kabhi aarti ke saath to mere according sana capable nahi hai .

Hina- par ye to achi baat hai wo jhund bana kar nahi chalti hai independent hai aur yehi to game hai apni indepedndent personality dikhana .

Aarti- haa sana flip maarti hai part sana waha flip maarti hai jaha use lagta hai ki use wo respect nahi mil rahi hai wo unka saath nahi deti jo use sahi lagata hai wo uska saath deti hai kabhi dusro ko neecha nahi dikhati .

Rashmi - haa par team ko saath le kar chalna bhi zaroori hai na aise har baar apni team nahi change kar sakte hai .

Sid- kabhi khud individual khela ho to pta chale ki kya jaroori hai kya nahi kabhi mere se jhagda karke kabhi arhaan ke sahare kabhi controversy ka mudda khuid ko to nahi aata hai independent kaise khelte hai .

Rashmi- task mera hai mujhe bolna hai par mere baare mein nahi .

Sid- to pehle apne facts thik karo wo independent khleti hai kyuki usse jaroorat nahi hai .

Rashmi- mai game ke point of view se bol rahi hoon aur wo jaisi hai wohi bta rahi hoon .  

Hina- par game individuality ka hai to usmein problem kya hai .

Aarti- mere liye asim abhi bhi sirf lime lite  dhoondta hai dusro ki maamle mein bolta hai arre wo to sid jisko wo bhai maanta tha usse bhi lad gaya tha to team wo kaise nibha raha hai sana jo karti hai saamne karti hai par asim to pehle acha banke faayda leta hai baad mein peeth mein chura de deta hai .

Rashmi - uska sid se hua kyuki dono alag hai dono ki thinking alag hai to nahi ho pai match thinking par iska ye matlab nahi hai ki wo saath nahi deta jab jaroorat padi hai wo pura saath deta hai sabke saath ache se rehta hai .

Hina- okay stop both of you ,you can go back to your seats .Now asim you speak for yourself 

Asim - mai sana se jyada deserving hoon ya nahi ye to nahi bolna chaiye kyuki wo meri bohot achi dost hai haa abhi gussa hai thodi par wo aur mai differnt hai mai apne according chalta hoon jaha game sahi lagta hai waise react karta hoon spontaneous wo emotional hai mai nahi hoon itna wo strongly apna opinion rakhti hai par jaldi se logo ki baaton mein  bhi aa jaati hai wo dil ki saaf hai kloi bhi uska faayda utha sakta hai par mai dimaag se sochta hoon aur yaha dimaag se khelte hai aur rahi baat flip ki to haa sana flip karti hai wo apna hi karti hai jo use acha lagta hai wo karti hai phir chahe usse dusra hurt ho jaaye .

Sana feels bad about what asim said about the flip and sid got angry listening to flip remark but he didn't said anything .

Hina- sana ab aap boliye .

Sana- mujhe jo sahi lagta hai ya jaha mujhe koi akela dikhta hai ki baaki us par haavi hone lagte hai mai uski taraf ho jaati hoon mai kisi se influence nahi hoti haa mai sabka sunti hoon par karti apne mann  ki hoon afar logo ko ye flip lagta hai to lagta rahe par mai wohi karti aai hoon jo mujhe sahi lagta hai aur mai aage bhi wahi karungi aur rahi baat ki mai asim se better kyu hoon to wo mujhe nahi pta mai kisi ko gira kar upar nahi bhadna chahti hoon baaki aapko jo sahi lage .

Hina - maine dono ka suna par sana ne khud bol diya ki wo asim ke baare mein kuch nahi bolna chahti to ye unhone give up kar diya to te task asim jeetta hai .

Asim became the first member of elite club .

After Hina left sana went to washroom sid was also going inside but asim came to him.

Asim- sid tu please bura mat manna maine sana ke baare mein bola wo task tha na .

Sid - mai samjhta hoon task tha ki tune task ke liye bola par wo sahi nahi tha wo kabhi jaan kar kisi ko hurt nahi karyi hai ye tu bhi jaanta hai par tune wo sab bola to wo bhadak gai hogi ab aur jayada kyuki wo galat nahi thi aur tune task jetne ke liye use galat thera diya .

Asim- mai abhi usse baat karta hoon wo maan jayegi .

Sid- nahi abhi mat jaa abhi gusse mein hogi jab thodi shaant ho jaaye tab jaana .

Asim- thk hai .

Sid went inside and came to sana .

Sid- tune give up kyu kia .

Sana- kyuki mujhe use nicha dikha kar nahi bhadna tha upar mai aiose kaise ek task ke liye usse kuch bol deti .

Sid- usne bhi to bola na tu bhi bol deti .

Sana - usmein aur mujh mein fark hai wo jaisa bhi kare par mai nahi kar sakti thi wo isliye chod dia .

Sid- ye achai bohot mehgi padti hai tujh par jaanti hai na sab faayda uthate hai .

Sana- to kya logo ki wajah se khud ko badal doon .

Sid- nahi par kabhi kabhi selfish hona padta hai agar koi cheez aapko chaiye to .

Sana- mai nahi ho sakti na to kya karu marr jau .

Sid- tera kya karu mai gussa bhi  ahi ho sakta tujhse mai ache se .

Sana- to mat kar na please bebu mai nahi kar sakti thi aur agar kabhi aage aisa aya to bhi mai nahi karungi .

Sid- tu bohot naive hai baby aur ye industry bohot hi kharab hai jeene nahi deti hai faayda uthate hain log.

Sana- to tu hai na mujhe bachane ko .

Sid- haa wo to mai hoon par ..chal chod and hugs her tightly and kisses her on forehead , tujhe bura laga jo asim ne bola .

Sana- haa use waqt laga tha par game hai wo bhi aage bhadne ke liye kuch na kuch to karega hi .

Sid- ,mera baby aaja and hugs her more tightly.

.

.

.

here is the next update hope you will like it. 

Sidnaaz an emotionजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें