Chapter 125

4.5K 351 18
                                    

Outside in garden area :

Mahira - kya hai na dono bhai behen nautanki matlab halki si chot lagi hai uske issue bana dia hai .

Asim- choti si chot nahi hai agar tumne dekha nahi to kitna blood nikla uska behosh ho gaya tha wo aur tum usse nautanki bol rahi ho disgusting .

Vishal- haa mahira tumharfe kitchen mein kaam karte waqt halka cut bhi lag jaaye to kaise rone lag jaati ho aur usse bol rahi ho ki wo natak kar raha hai shame on you .

Paras- kya galat bola usne sahi to bola hai chot lagi hai thk hai par ismein itna bhi nahi karna chaiye ladka hai itna to bardaasht kar sakta hai waise to bada bolta rehta hai itni chot mein kitned drame kar raha hai .

Kashmeera- haa wohi to agar itna hi darr tha to khelte hi nahi kyu kehle chup chaap side mein baitha tha bas ye logo ko aadat hai aise dramein karne ke aur sympathy lene ke .

Aarti- kash bas kar sid sunega to bhdak jaayega aur uske lagi hi hogi na tabhi to bandage wagera hui hai doctor ne bhi dekha hai na .

Shefali- haa par wo kar bhi kya sakte hai bol diya hoga ki aise bol do ki chot jyada hai ab doctoe bhi kya karenge ye dono bhai behen ek jaise hai dono ko sirf drame karne aate hai taaki ye attention gain kar sake lago ki such a attention seekers.

Vikram- aapne salman sir se weekend par daant khai thi na sir ne aapko kitna samjhya bhi tha par aapko abhi bahi samajh nahi aaya at least  ab to thoda sensible baat karo .

Shefali - tum na chup raho bilkul apne bhai ki tarah ho gawaar types .

Vishal- kya bola shefali mere bahi se door rehna mai bardasht nahi karunga uske against ek bhi word .

Shefali- to usse bolo chup rahe jayda na bolne ki jaroorat nahi hai beech mein guest hai guest ki tarah rahe .

Vikram- aap bhi guest hi hai ab bhool gai hai shayad to yaad dila deta hoon aap eliminate ho chuki hai aap bhi connection ban kar aai hai aur rahi baat gawaar hone ki to hum gawaar hi thk hai agar padhe likhe log aise anpadho wali baat karenge aur unke jaisa behave karenge to wo to gawaar ki category mein bhi nahi aane chaiye balki unhe insaan hi nahi bolna chaiye .

koi insaan ander bimaar hai chot lagi hai par aap logo ko masala chaiye matlab drama bol rahe ho wo uska jo blood nikla wo drama lag raha hai agar sharam ho to kar lo waise lagti to nahi hai ki aap ke aap sharam naam ka emotion hai bhi .

Shefali- tum na ...vikram spoke in between .

Vikram- i don't want to talk to you just talk to my hand and showed her his palm .

devo whispers to rashmi- shebaaz ko meri wajah se hi lagi hai wo mujhe bacha raha tha girne se par mujhe laga wo escape karne ki koshish kar raha hai isliye maine usse haath nahi lagane dia agar wo mujhe nahi bachata to mujhe chot jyada lag jaati .

Rashmi whispers back- jo bhi hua kuch bolne ki jaroorat nahi hai  ye log tujhe blame krenge aur ussed hero bana denge chalne de waise bhi wo thk ho jayega hai uske paas log .

Devo - par ..

Rashmi- chod na tujhe nahi lagi ye badi baat hai waise bhi kisi ko nahi pta hai .

Devo- haa wo bhi hai .

Mahira- abhi bhi dekhna dono bahi behen sympathy lenge puri ki yaha lagi hai waha lagi hai .

Aakash- mahira bas ho gaya hai mat kar baat ko itna stretch.

Mahira- mai kar rahi hoon tu chup hi reh .

Umar- haa waise bhi sana ji ko bhi lagi hai aur baaz ko bhi jyada nahi bolna chaiye wo already pareshaan hai agar sun liya to aur pareshaan ho jaayenge .

After fighting for some more time all dispersed and get involve in their works .

 Sid and sana was sitting beside baaz while preeti di went out to sleep  so it will be problematic for them as sid will take care of baaz and sana both .

Sid - jyada pain to nahi hai na baby .

Sana- nahi itna nahi hai .

Sid- swelling hai kya ?

Sana- haa thodi si hai par di ne ointment lagaya hai .

Sid- mai darr gaya tha isse waha khoon se latpat dekh kar mai imagine bhi nahi kar sakta tha us moment mein ki isse lag jayegi wo khel rahe the sab .

Sana- haa mujhe jab laga ki devo baar baar age aa rahi hai to mai beech mein gayi thi .

Sid- haa pagal hai kya wo jab uske already lagi hui hai to   kyu itna involve hona matlab uska back ka treatment chal raha hai aur wo aise game ke liye apni life risk kaise kar sakti hai .

Sana- haa mujhe laga kahi jyada lag na jaye puri life ki baat hai yaar .

Sid- bewakoof hai wo akal nahi hai usmein par mujhe na kuch gadbad lagi jaise wo task hua na jaise jaan kar target kia unloge ne isse .

Sana- teri sui wahi atak gai hai kyu karenge isse  target ye konsa dushman lagta hai waise bhi abhi to aaya hai isne konsa kisi se ladai ki hai ya kisi ko kuch bola hai .

Sid- pta nahi meri gut feeling bol rahi hai .

Sana- tu na jyada soch mat soch soch kar dimaag sada lega khud ka phir sir mein dard ho jaana hai tu mujhe pamper kar mujhe bhi lagi hai .

Sid- meri baby ko pampering chaiye bta kya karu tareef karu teri ya sir dabau .

Sana- nahi bas hug karle mujhe ache se 

Sid hugs her and after exhausting hours both felt at peace .

Sana- maa gussa karegi isse ab tu dekhna ghar jaate hi achi wali daant padegi .

Sid- haa janta hoon padni bhi chaiye careful reh sakta tha na wo aage aa rahi thi to peeche hat jaata .

Sana- nahi wo devo ko save kar raha tha wo aage aa rahi thi to wo girne wali thi to wo usse bachane laga to shyad devo ko laga ki wo aage aa raha hai  to usne iska haath peeche kia par jaise hi usne haath hataya iska wo girne wali thi uska balance khrab ho gaya tha usee bachane ke chakkar mein lagi isse .

Sid- pagal hai kya ye ladki matlab khud ka hosh nahi hai agar usse ya isse jyada lag jaati to .

Sana- tu phir se gussa ho raha hai chod mat soch .

Sid- par ye aise kaise ..

Sana- bebu mera sir daba se .

Sid- daed ho raha hai baby .

Sana- haa thoda thoda sid started to press her forehead they were lost in themselves .

Baaz- haa ye acha hai chot mere lagi hai seva ye karwa rahi hai .

Sid- kaisa lag raha hai ab dard kam hai .

Sana- haa baaz kuch khayega kya .

Baaz- nahi nahi abhi nahi  abhi aisa lag raha hai sab sunn pada hai .

Sid- haa wo medicine ki wajah se tu khuch khaa le phir dawai leke so jaa .

sid gave him food and medicine and he slept after that sana and sid also slept after sometime.

.

.

.

here is the next update hope you will like it .

Sidnaaz an emotionजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें