Chapter -63 Brahm lok

220 18 9
                                    

In Brahm lok,

Np-Ananya tumhe basic details aur power di hain. par unhe time aane par hi use karna (Anu nodded)
Viv- Par dost sabse pehle jaana kaha hain??yeh toh hum shayad kisi.. war yaa battle jaisi ground hain..... (he said looking at a battle ground of reddish brown sand but at a distance they could see forest with unique species of flowers)

Np-beautiful but humen alert rehna padega... issi forest ko paar karke humen ek cave milegi... vahi humaari destination hain

Everyone nodded and left in different directions to find the cave but unaware of the fact that sm was already present in cave for his/her plan waiting for them...
Soon Anu found the cave...
Anu- main kya powers use karu unhe bulaane ke liye 😃 (snaps to teleport them to her place but instead she teleported herself to their place
Anu -Guys! yeh dekho cave mil gyi a chalo bhi ab😃
Np- ananya tum yaha kya kar rahi hoo😳??
Anu - voh maine cave dhundh lii hain chalo bhi😄
Np - tum unchai se dar lagta hain...(as he knows she would get scared)
Anu -kyu 🤔??
Np - neeche dekho..
Anu -(looked down and saw she was standing on a narrow bridge)ahh (screams) yeh kya (balancing herself)
Np - kya kya?? tum yaha aayi main nhi...
Anu -ek sec mtlb maine tumhe teleport karne kijagah khud teleport ho gyi 😧
Np- haa 🤦‍♂️ mera haath pakado aur chalo(forwards his hands and she holds it tightly scared)
Anu - tum iss jagah par aakhir kar kya rahe the 😰??
Np- picnic kar raha tha tumhe karni hain😐
Anu -mazak lag raha hain tumhe😰
Np- tum telepathy se baat karke nhi bata sakti thi mujhe 😐 khud aakar tumhe cave ki voh location bhi kho dii
Anu -voh main bhul gyi thi 😅
They were near the end when vivaan also teleported... same as Anu on that narrow bridge 🤣
Np- main sach mein picnic nhi mana raha tha jo tum bhi aa gye😐
Viv - aap aakhir iss jagah par kar rahe the 😧??
Np-(in mind - dono ek jaise hain 😑) pehle yaha se niklo..
Viv teleported himself to the other side of bridge while Anu looked at np like🤨


Np- aise mat dekho 😑 tumhaare saath rehkar hi yeh haal huwa hain (snaps and they both also teleported directly to the other side)
Anu -ohh god 😩 ab cave firse dhundhni padegi...
Viv - aarre didi main cave ke paas hi teleport ho gya tha isiliye location batane hi aaya tha main😃
Anu - mtlb mera jaadu kaam kar gya🥳
np-Haa chalo bhi ab..
Anu -tum iss bridge par kya kar rahe the 🧐??
Np - uss bird ka nest neeche girne wala tha bas isiliye gya tha vaha...
Viv - powers se bhi toh asaani se udhar jaa sakte the na dost🤔??
np-bewajah main powers use nhi karta... unless yeh waha aa chuki thi.. (pointing at anu)

Viv teleported all three at the entrance of cave....
np-ek baat sun lo... sab questions ke answers sach sach dena aur sabhi ko cave ke uss paar Sahi-salamat pahunchna hain saamne jhut ho sakta hain par usse sach mat badalne dena
aur toh aur apne dar par kaabu rakhna ... (alerting them for upcoming dangers) All the best 👍 (All went inside the cave)

As they went inside the ground started shaking and the rocks were trembling and soon the cave got divided into 4 parts or say 4 lanes to reach the other end... EACH LANE for EACH PERSON...
Np, Anu, Viv, sm(guess karo😌)

With Np
A monk appeared wearing a long gown asking him.... "kaun ho tum??"
Np- Main nakabposh hun...(cut by him)
Monk- Maine tumhaara rup nhi pucha...kaun ho tum??

Np- Baalveer... (as he changed to bv).
Monk-Maine tumhaara kartavya nhi pucha.. (smiles)
Bv- Mera naam Dev hain...( confused if it was his answer)

Monk- Naam har janam mein badal jaate hain pichle janam ka naam tak yaad nhi rehta...tumhaari pehchaan kya hain?

Dev- Main achai ka rakshak hun.
monk- Agar shaktiyaan cheen lii jaaye toh ? (as he took all his good and evil powers)

Dev- Main achai ka rakshak hi rahunga, chahe mere paas powers hoo yaa nhi

Monk-Achai kya hain?
Dev- Burai ko khatam karne wali shakti.

monk- Burai kya hain fir?
Dev-kuch log jinke mann mein lalach, krodh(anger), moh, ahankaar (ghamand) aur kaam (lust) ki bhavana hoo aur yeh bhavaana unpar bhaari padh jaaye toh unke andar burai pravesh karti hain...
Monk- Tum kisse khatam karte hoo burai ke saathiyon ko??
Dev-nhi burai ko.. kyunki bhashak ko rakshak banaya jaa sakta hain. AGAR MAIN PRAAN DE NHI SAKTA TOH MAIN PRAAN LE BHI NHI SAKTA...

monk- aur agar tumhe unhe maarna hi pade toh??

Dev- Toh uska parinaam main hi dekhunga aur unse bachaane ke liye jo log mujhe aashirwaad yaa duayein denge voh bhi yeh parinaam ko kam khatarnaak banane mein meri madad karengi...
monk- duaayein aur aashirwaad mein kya rakha hain??
Dev - jang mein sabse bada tohfa (gift) hoti hain yeh... inka asar itna hain ki bhagwaan bhi yeh pukaar sun lete hain(smiles)
Monk-(smiles hearing his answers) koi dar??
Dev- Apno ki jaan Jaane ka....
monk- Aur apni?
Dev -Maut se nhi darta main apni.. par apno ki maut se darr lagta hain mujhe (as his voice soften)
Monk- Apne kon hain tumhaare liye?
Dev- Puri duniya, 7 universes aur jitne bhi log chahe mujh par vishwas rakhe yaa nhi mere apne hi hain unki raksha main kar sakta hun par mera parivaar jisse main pehle darje par rakhta hun uski safety ka dar rehta hain mujhe...

monk- Tum aage badhne ke kaabil hoo. Iss pareeksha ke antt mein tumhe apne jeevan ka sach bataya jaayega aur ek ichcha bhi poori hogi (smiles and disappear)

precap-
Anu- main aakhir kaise yeh sab😰?? and...
Anu in danger
.......
To be continued ...
How was the chapter 😇??
Do vote and comment ❤️

THE MYSTERY OF UNKNOWN RELATIONS जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें