Chapter 2

704 50 7
                                    

Haya kamray mein bethi hoi thi jab Naghma Sahiba uske kamray mein daakhil hoti hain:"Beta tum free ho?"
"Jee ammi."
"Beta mujhe tumse ek bohot zarori bat kerni hai."
"Kaheye ammi."
"Tum Sydney ja tw rhi ho, lekin tumhe wahan ja ker apnay nam ka matlab aur apna mazhab yad rakhna hai."
"Jee ami." woh dil mein yehi soch rhi thi ke abhi usse ami ko naraz nhi kerna chahiye, aur konsa woh ammi ki koi bhi bat sunay wali hai.
"Beta Haya ka matlab hai zindagi, agar kisi shaks mein Haya na ho tw zindagi bemaqsad hojati hai."
Woh soch hi rahi hoti hai ke ami ko kaisay wahan se bhagaye ke achanak darwazay per dastak hoti hai.
Haya ko tw jaisay moqa hi milgaya:"Yes!"
Afreen darwaza khol ker andar ajati hai:"Assalam O Aliakum chachi."
Naghma jawab deker wahan se chali jati hain.
"Kya baatain chalrhin thin amma beti mein."
"Arey kuch nahi yar ami ka tw kaam hai bus lecture dena."
"Aur tum per kabhi asar tw hota nahi hai."
"Asar lenay wali koi bat kerti hi kab hain woh. Yar tum hi btao mein itni khaobsorat hon aur mere baal meri khobsorti barha dete hain, ab ami kehti hain inko dhako, ab tum hi btao mein in dakyanosi batoon ke liye apnay husn mein tw compromise ker nhi sakti na?"
"Lekin dekho--"
"Tum bhi shuro hojao ab, budhi rooh ho tum bhi qasam se."
"Jab bhi chachi ki favorite hon." Yeh kehte hoye Afreen muskuradeti hai aur usse dekh ker Haya ka bhi ghusa thanda hojata hai:"Bani raho favorite."

**Haya is one of the most important factors that keeps a person from committing a sinful act. If a person has no haya; he or she will do almost anything.**

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now