Chaptar 9

397 36 1
                                    

Fareesa Haya ki bohot achi dost ban gye thi. Fareesa aur Sahir ka couple pori university mein bohot famous tha. They were couple goals. Sab kuch bohot acha chal raha tha uski life bus phir last week Sahir ditched her. Fareesa kal raat ko Haya ke ghar ayi thi tw wahin ruk gye thi.
"Uthajao Fareesa, kab tak soti raho ge."
"Uth ker kya kerna hai, zindagi tw ek jaghay ruk gaye hai meri."
"Uff Allah koi nhi ruki wuki zindagi tumahri."
"Lekin sab kuch adhura hogya na." Yeh bolker Faressa ki ankhoon mein ansoon agye Haya ko kuch samjh nahi arha tha ke woh usse kaisay chup keraye.
"Bilkul nhi adhura hoa. Balkay tumhari apni zaat mukamal hogye ab usmein kisi aur ka wajood shamil nahi."
"Haya yeh kaisay bol sakti ho tum, tumhe mohobat hoge na tw pochi ge."
"Mujhe nhi honi mohobat."
Fareesa ne kuch nhi bola, kyunke woh achi tarha janti thi ke Haya koi mamoli lakri nhi hai ke koi bhi larka uska dil torde. Woh janti thi ke agar Haya ko mohobat hogye tw woh sachi hi hoge aur woh larka us mohobat ko nibhaye ga zaroor akhir Haya itni haseen jo hai. Haya sirf haseen hi nahi thi usmein har qism ka talent bhi tha. University ke adhe larkay usse dosti kerne ke liye martay thay aur woh kisi se bat tak nhi kerti thi.
Haya washroom mein thi, Haya ka phone bajnay laga tw Fareesa ne phone uthaliya, "Hello Haya kahan thi tum, tumhe achi tarha andaza haina ke agar subha subha tumhari awaaz na sunon tw din nhi guzarta mera."
"Hello, woh Haya washroom mein hai."
Kuch bolay baghir us shakhs ne call kant di.
Haya jab washroom se bahir nikli tw Fareesa ne usse bola, "Kya tum mujhse kuch chupa rahi ho?"
"Nhi tw, tumhe aisa kyun laga."
"Are you sure?"
"Han."
"Phir yeh Headache kon hai?"
"Headache?" Haya muskuranay lagi. "Tum mere phone ki talashi lerhi thi?"
"Nahi apke ke is headache ki call uthali thi mainay."
"Arey mera wera koi nhi hai, bus jaan azaab ker raha tha call ker ker ke ab number tw yad rehta nahi mujhe isliye baar baar utahleti thi, tw socha-"
"Tw socha nam headache rakhlon? Had hai qasam se."

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now