Chapter 29

261 26 0
                                    

Hira soch rhi thi ke agar Khizar ko pata chal gaya ke jis larki mein Aarish interested hai woh Haya hi hai tw Khizar ko lagay ga ke woh sab Hira ne apnay liye keraya hai.
"Hira? Kahaan kho gaye?"
"Arey nahi kuch nahi. Yar mein tumse bad mein bat kerti hon."
"Everything okay na?"
"Haan... Haan sab theek hai."
"You sure na?"
"Han. Chalo Allah Hafiz." Isse phele Khizar kuch aur pochta Hira ne phone kant diya.
**Haya's POV**
Mere pyaar ko kiski nazar lag gye. Aarish tw mujhse mohobat ke itnay daway kerta tha, aur shadi usne Hira se kerli.
Aarish mein tumhari wajhay se yahan phans gayi hon. Sorf tumhari wajhay se. Na tum mujhe dhoka dete na mein yahan tak pohonchti.
Lag jaye na nazar mere pyaar ko meri Rab se yeh mainay ki thi guftogoo. Dunya ko bhool jaon. Naino mein kho jaon. Aye mujhe tu nazar char soo. Jaan le mere jaaan meri jaaan haaaai tu. Maat e jaaaaaaaaan, meri jaan hai tu.
Author's POV
Jab Khizar Haya ke liye dophair ka khana leker gaya tw subha ka nashta bhi wahin pera hoa tha.
"Tumne mere kamray ka yeh kya haal kerdiya hai? Aur tumne abhi tak nashta bhi nhi kiya."
Haya ne koi jawab nhi diya.
"Dekho Haya agar tumne aisay dramay baziyaan kerni hain tw mein kuch nhi kersakta. Mein akhiri dafa bol raha ho tameez se khana khalo warna.."
"Warna kya? Kya kerlo gay? Tum jaisay ghatiya insaan se aur umeed bhi kya ki jasakti hai. Kerlo jo kerna hai. Mein darti nhi hon tumse."
"Kitna bolti ho tum. Mein tw sirf itna keh raha tha ke agar tum khid nhi kha rahi tw mein apnay hathon se khila deta hon."
Kamray mein 2 mint ke liye ek ajeeb si khamoshi cha gaye.
Haya ne jab koi jawab nhi diya. Tw Khizar ne fork uthaya aur chawal Haya ke moo ke khareeb le gaya.
"Isse khalo. Warna mein zabardasti bhi kersakta hon."
Haya ne uske hath se fork leliya aur apnay moo mein dal liya.
"Good girl. Aab tum chup chap khana khao mein pani leker ata hon. Kamray se bahar jatay hoye is dafa Khizar ne darwaza band nhi kiya.
Khizar ke jatay hi Haya uth ker bhaagnay lagi. Haya kamray se nikli hi thi ke Khizar ne usse rok liya.

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now