Final Chapter

637 42 33
                                    

*Assalam O Aliakum everyone!!!
Thankyou so much Readers
I love you so much. This chapter is the same. But I am republishing it because my story is #1 in Spiritual.

"Haya ab tum shadi ke liye maan hi gaye ho tw Aarish ko dil se qabool kerlena

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Haya ab tum shadi ke liye maan hi gaye ho tw Aarish ko dil se qabool kerlena." Fareesa ne Haya ko samjhatay hoye kaha.
"Shadi nahi Nikah."
"Hayaaaa! Aisay nahi boltay.
Acha meri bat suno, Hira abhi jazbati hoyi wi hai lekin shayd baad mein usse ehsas ho ke usne kuch ghalt tw nhi kerdiya. Haya tw sambhal ker rehna hoga."
"Aarish se sirf mera Nikah ho raha hai, shadi nahi."
Haya aur Fareesa ki batain Aarish darwaza ke pass khara hoa sun raha tha.
"Arey Aarish tum?" Fareesa ki nazar Aarish per peri, "Tum Haya se bat kero mein zara ati hon."
Fareesa wahan se uth ker chali jati hai. Aarish Haya ke pass aker usko chup chap khara dekhta rehta hai.

 Aarish Haya ke pass aker usko chup chap khara dekhta rehta hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


"Fareesa! Suno?" Hira ne Fareesa ko ruka.
"Haan kaho." Fareesa Hira se aaj 3 saal bad bat ker rahi thi.
"Kya tumhe lagta hai, ke Haya aur Aarish ke bech sab sahi hosakta hai?" Hira ne hichkichatay hoye pocha.
"Thora waqt lagay ga, magar it's not impossible."
"3 saal ka fasla jo hai inke beech."
"3 saal nahi Hira. 3 saadiyan hain inke beech."

Haya uth ker Aarish ke pass gaye,
"Aaj mera tumse Nikah hai, lekin sach yeh hai ke mein kabhi bhi apne naam ke agay se Khizar ka nam nhi hataon ge."
"Haya mein bohot mohobat kerta hoon tumse. Tum meri ho ker bhi meri na ho, yeh kaisay hosakta hai? Haya in 3 saloon mein meri har dua mein tumhari khushi thi."
"Agar yeh sach hai, tw tumharay liye kya important hai, Mujhse Nikah kerke mujhe apnay aap se nafrat kerwana ya meri khushi?"
"Haya mere liye sabse phele tumhari khushi hai."
"Tw phir mujhe jaanay do, mein is waqt yahan se chali jana chahti hon."
Aarish Haya ko hairangi se dekhta hai, "Tum in kapron mein kahan jao ge?"
"Aarish mujhe janay do, aaj mat roko"
Aarish Haya ko 2 mint bad dekhne ke bad kehta hai, "Mein tumhe nahi rokon ga. Lekin you are no longer the same Haya I used to know."
"Now I am somebody that you used to no. Hosakay tw mujhe maaf kerdena." Haya yeh bolker wahan se bhagnay lagti hai tw uske ammi abbu usse roknay ki koshish kerte hain, "Ammi abbu mujhe maaf kerde ga. Hamesha yaad rakhe ga ke mainay ap dono se bohot pyaar kiya hai. Lekin mein Khizar ki ammanat hon, mujhe ushi ka rehne dein."

Aarish wahan khara Haya ko dekhta rehta hai.

Dekho tw meri deewangi
Lagay na khin tum bin yeh jee
Phir aisa sawaal shayad na ho
Ruk jao meri khatir abhi
Tumhe mein deekhloon
Jee bharke ankhoon mein
Abhi tum ho, zamana kuch nhi agay tumharay Zindagi tum ho

Haya jaisay hi ghar se bahar bhagti hai, ek taiz raftar mein ata hoa truck usse takar mardeta hai.
And her last words were: la illa ha illal la ho Muhammadur rasool Allah

Kuch log mohobat tw kerlete hain magar usse jaan nhi patay.
Aur kuch mar ke bhi uska matlab samjha jatay hain. Khizar aur Haya ki mohobat bhi kuch aisi hi thi, yeh duniya mein tw ek nahi hosakay. Magar ab woh ek saath hongay.

**The End!!! Tw yeh tha Haya ka Rasta.
Btw Allah Tallah hum sab ko marte hoye Kalma perhna naseeb farmaye. (Ameen)
Thankyou people for reading 🌷🌷🌷🌷🌷🌷
See you in Khuda Rooh aur Khuwaish
hopefully 😇😇
Stay blessed!
Stay happy!
Thankyou to those who send me their wonderful edits.**

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now