Chapter 12

359 27 2
                                    

"Oh tw woh ek khuwab tha." Haya ki jaan mein jaan ayi, warna dadi ko dekh ker tw woh dar hi gye thi. Lekin uski samjh mein nhi arha tha ke dadi ne usko kala burqha kyun diya hai.
"Dadi chati kya hain, phele mujhse naraz hona aur ab yeh burqha dena."
Haya soch rhi thi ke ab usse Pakistan jana chahiye uski tention bhi kam hojaye ge aur woh shadi bhi enjoy kerle ge. Haya ne Pakistan janay ke liye seat confirm kerali.
Fareesa ke sath Harbour Bridge se guzartay hoye woh Fareesa ki dastaan sun rhi thi. Achanak Fareesa bol peri , "Tum itni haseen ho, tumhe kabhi koi serious wala dewana tw zaroor mila hoga."
"Han mila tha na." Haya ne tanziyan andaz mein bola.
"Phir?"
"Phir yeh keh uski shadi mein jarhi hon ab Pakistan."
"Tumhe tw bohot dukh hoa hoga."
Haya chir jati hai,  "Oh please! He use to like me, mujhe woh pasand bhi tha. I don't give a damn."
Yeh sach nhi tha, Haya ko perwah thi, balkay woh Pakistan ja hi ishi liye rahi thi. Woh janna chahti thi ke kya Taha sach mein usse bhool gaya hai? Ya kya woh phupho ki wajhay se shadi ker raha hai? Ya kya usse kabhi Haya se mohobat thi hi nahi?
Flashback
Haya aur Fareesa batain ker rhay thay coffee shop mein betg ker.
"Haya Faizan nam hai mera, mujhe koi mamoli larki replace nahi kersakti." Haya ne beray confident se kaha.
"Lekin Haya tumhe kya milay ga Taha ki shadi mein problems create kerke. Tumhe tw Taha mein koi interest bhi nhi hai." Fareesa ke sawal per Haya muskura deti hai.
"Shadi ke bad interest khud ba khud peda hojata hai."
Flashback ends
Haya ko Taha mein koi interest nhi tha lekin uski ana yeh gawara nahi ker rhi thi ke koi bhi mamoli lakri usko replace kerle. Woh natija sochay baghair Taha ki shadi rukwana chahti thi.

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now