Chapter 51

269 29 3
                                    

**girligirl2000 Thankyou for the collage above
Happy reading 😘**

"Haya tum kyun apnay saath zulm ker rhi ho?" Fareesa ne Haya ke liye pareshaan ho ker pocha.
"Kya zulm ker rahi hon? Koi matum ker rhi hon? Kya problem hai tum logon ko?" Haya ghusse mein agayi thi. Shyad ismein uska koi qasoor na tha. Aaj kal har koi usse sirf yeh chahta hai ke Woh Aarish se Shadi kerle.
"Abhi mere shohar ko maray hoye 6 mahinay nahi hoye, ke har kisi ko meri shadi ki peri hoyi hai." Haya ne rotay hoye bola.
"Haya beshuk abhi Shadi na kero lekin, apni halat behter kero. Kisi aur ke liye na sahi Khizar ke liye hi kerlo. Usse tumhe aisay dekh ker taqleef hoti hoge." Faressa ke yeh bolnay per Haya rona band kerdeti hai. Aur uth ker khari hojati hai.
"Fareesa tum jao, mujhe qabristan jana hai."
"Haya tumhara dmagh kharab hochuka hai. Aurtoon ko qabristan janay ki ijazat nahi hai. Aur yeh sab choro Khizar ko tumhe aisay dekh ker kitna bura lagay ga."
"Aur jo Mujhe wahan na ja ker bura lagay ga? Uska kya? Btao mujhe Fareesa. Tum btao mujhe? Kya tum Sarmad ke baghair reh sakti ho? Nahi na. Waisay hi mein bhi Khizar ke baghair nhi reh sakti."
"Haya Sarmad zinda hai. Khizar ab is duniya mein nahi hai."
"Allah keray ke Sarmad zindagi bhar tumharay saath rahay. Lekin Khizar mere liye zinda hai. Khizar mere liye kabhi nhi mar sakta. Jab tak mein zinda rahon ge mere naam ke agay Khizar ka nam laga rhay ga."

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now