Chaptar 34

294 26 2
                                    

"Haya? Haya kahan ho tum?"
Aarish Haya ko poray ghar mein dhond chuka tha.
"Kahin yeh larki bhaag tw nhi gye, lekin bhaag ker jaye ge kahan?"

Ankhain yoon num thi meri
Jaisay mein roya abhi
Pal mera ruk sa gaya
Waqt mera thum sa gaya
Kab woh pal aye ga
Sab kuch badal jaye ga

"Bhag ker jaon ge kahan mein?" Haya ghar mein daakhil hoti hai.
"Kahan thi tum? Yar 2 ghanton mein airport ke liye nikalna hai."
"Acha mein last time check kerlon ke koi cheez rhay tw nhi gye."
"Yaar i have checked everything, bus samaan lo aur chalo kahin bahar chaltay hain."
Haya ne bahar nikaltay hoye ek dafa ghar ki taraf dekha. Woh is ghar mein wapas kabhi nhi ana chahti thi.
Haya gaari mein chup chap khirki se bahar dekh rhi thi. Haya sochon mein gum thi.
"Mein ammi abbu ko kya moo dikhaon ge? Kya sochain gay woh, ke mein kahan se yeh larka utha layi hon. Kuch samjh nhi araha. Mein tw Khizar ki family ke baray mein bhi kuch nhi janti."
"Khizar," Haya ne achanak khamoshi tordi, "mein yeh bol rahi thi ke tum apni family mein se kisi ko mere ghar bhej saktay ho na."
"Haya lekin meri family mein tw sirf ek bhen hai jo Sydney mein rehti hai."
"Tw kya woh asakti hain?"
"Mushkil hai."
"Kyunke tumhare kisi rishtedar ko hi aker bat kerni hoge warna mujhe nhi lagta mere parents kabhi bhi manain gay."
"Haya kahin tum mujhe dhoka tw nahi derhi?"

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now