Chapter 33

276 27 1
                                    

"Tumne aisa kyun kaha ke tumse koi mohobat nhi kerta, Haya kya yeh sach hai ke tum apnay apko ko pasand nhi kerti."
"Mein apne aap ki favorite thi, bohot maghroor thi, batameez thi, behis thi. Aur is sab ki saza mujhe Khuda ne dedi. Meri zindagi mein anay walay dono mard hi kamzoor nikle."
"Haya? Yeh kya keh rahi ho tum? Tum aur behis. Han kharos zaroor ho lekin behis nhi.,
Kharos word sunke Haya ke chehre per muskurahat agye, "Tum us Haya ko jantay hi nahi jo mein thi, pta hai mujhe tw apnay nam se bhi nafrat thi. Meri ammi kehti thin ke mujh behaya ka nam meri dadi ne ghalt Haya rakh diya."
"Behaya? Matlab waqhaye change hogye hai Haya."
"Kahin bahar chalain."
"Yeah sure."

"Haya ko jab mujhmein interest hi nhi tw shadi ke liye kaisay man sakti hai, kahin woh mujhe trap tw nhi ker rhi. Agar Pakistan jaker woh mukar gaye tw."
Jab Khizar ne kafi dair tak khamoshi ikhtiyat ki hoyi thi, tw Haya usse khamoshi se delho rahi thi, "Tum kya soch rhay ho? Kahin irada tw nahi tabdeel kerliya?"
"Nahi.. Arey nahi. Mein tw yeh soch raha tha ke hum paper marriage kerlete hain. Bad mein Karachi jaker Nikah kerlein gay. Isse yahan hum husband and wife bhi register hojayein gay."
"Tum yeh isliye keh rhay ho kyunke tumhe mujhper aitbar nhi, warna is bat ki koi sense nhi. Khair theek hai janay se phele paper marriage kerlete hain. Lekin Pakistan mein kisi ko ilm nhi hona chahiye."
Khizar ne koi jawab nhi diya. Shayd uske pass jawab tha hi nhi.

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now