Chapter 35

277 26 1
                                    

"Agar tumhe yaqeen nhi tw yahan tak kaisay chalay aye mere saath?"
"Baat beyaqeeni ki nhi hai. Bus mujhe tumhe khonay ka khoaf hai."

Haya ki ghar mein sab usse dekh ker hairan thay.
"Ammi abbu mein apko kisi se milwana chahti hon.
"Assalam O Alaikum." Khizar ne agay berh ker Haya ke abbu se hath milaya.
"Yeh Khizar Alam hain, mere bohot achay dost."

"Dost? Bus dost. Haya kya chahti hai. Agar dost bolay ge tw shadi kaisay hoge? Uff mere Allah." Khizar apnay bed per leta hoa tha. "Ghar ki kya halat hogye hai. 6 saal phele yehi ghar jannat lagta tha, aur aaj lag raha hai ke kisi khandar mein agaya hon."
Khizar ko bar bar yeh khayal pareshan ker raha tha ke kahin Haya usse dhoka na dede. "Mainay Haya ki saath itni ziyati ki hai. Agar Haya ne mujhse badla leliya tw mein kya keron ga?" Woh yeh soch hi raha tha ke Haya ne usko phone kiya.
"Hello Khizar. Tumne apni behen se pocha ke kya woh Karachi asakti hain?"
"Haya mainay bat tw ki thi lekin uska ana possible nhi."
"Khizar kahin se bhi kisi rishtedar ko arrange kero aur mere ghar rishta bhejo."
"Lekin Haya mein--"
"Woh sab mein nhi janti. Bus jaldi kuch na kuch kero." Yeh bol ker Haya ne phone rakh diya.

Kitni ghayal teri chahat mein meri zaat hoyiJeet uski hoi, aur mujhe Maat hoi maat hoi, maaat hoi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Kitni ghayal teri chahat mein meri zaat hoyi
Jeet uski hoi, aur mujhe Maat hoi maat hoi, maaat hoi.
"Nahi mujhe himmat se kam lena hai, agar mein aisay keron ga tw Haya ko kho don ga. Haya ko khona mein afford nhi kersakta."
Khizar ne bohot mushkil se apnay ansoon control kiye. "Akhir Hira ko kya problem hai Pakistan anay mein? Aisa kerta hon mein Aarish bhai se bat kerke dekhta hon."

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now