Chapter 4

490 47 7
                                    

Dadi ko Surah Yaseen perh ker bakhshnay ke baad woh Afreen ki dholki mein janay ke liye tayar honay ke liye kamray mein chali gye. Dark green colour ka dupata aur chori dar pajamay ke uper usne orange color ki sleeveless shirt pehni hoi thi. Wahan poray function mein har larka sirf Haya ko hi mur mur ke dekh raha tha. Taha, Haya ki phupho ke bete ko bachpan se hi Haya bohot pasand thi, uska yeh bat gawara na hoi:"Haya yeh tumne kya pehna hoa hai?"
"Apse matlab?"
"Haya tum apni dressing dekho."
"Ap apnay kam se kam rakhain, ap ki tw hat ti hai rhay ge mujhse ke har larka mujhe mein hi interested rehta hai aur apki Uroosa apa bethay bethay borhi ho rahi hain."
"Haya tum bat ko kahan se kahan le jarhi ho."
"Agar ap 2 mint mein yahan se nahi gye na tw mein shor macha dongee."
Haya har ksi ko ishi tarha sunadeti thi, aur usse kabhi is bat ka ehsas bhi nahi hota tha.
"Haya baji apko mami bularahi hain." Haya ki phupho ki choti beti ne usse kaha.
"Ek tw amma ko chain nahi hai." Usne dil mein socha,"Unse bolo arahi hon."

**Abu Huraira reported: The messenger of Allah, peace be upon him, said, "Everyone from my nation will be forgiven except those who commit sin in public." **

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now