Chapter 22

319 27 3
                                    

Hira's POV
"Arey Aarish aap agaye?"
"Tumharay samnay khara hon." Aarish har waqt ghusse mein kyun rehta hai? Is Haya ki tw mein khud tw chali gaye mere liye yeh azaab chor gaye. Nahi Aarish mein tumhe khud ke sath aisa nhi kernay don gee. Meri cheez sirf meri hai, mainay tw kabhi apna hairbrush kisi ko istemal nhi kernay diya, Aarish te phir meri mohobat hai.
**Flashback**
"Aarish tum kitni mohobat kertw ho Haya se?"
"Itni ke soch hai tumhari."
"Uske liye kya kersaktay ho?"
Aarish heeran hogaya, "Kuch bhi, kuch bhi kersakta hon uski khushi ke liye."
"Kya tum jantay ho ke mohobat sirf pa lenay ka naam nhi hai, mohobat tw us shaks ki khushi mein khush honay ki cheez hai."
"Han mein janta hon. Hira tumhe kya hogaya hai?"
"Aarish tum sirf jantay ho ya samjhtay bhi ho?"
"Samjhta bhi hon."
"Lekin mein nhi samjhti, mere liye mohobat sirf pa lenay ka nam hai. Aur mein tumhe haasil kerke hi rahon ge."
Aarish ghusse ke bjaye haeeran tha, "Kya, kya bakwas ker rahi ho tum? Dmagh tw theek haina?"
"Betho. Ja kahan rhay ho? Khair let me come to the point. Mainay jo pictures aur recordings tumhe di thin, woh ab bhi mere pass hain. Agar tumne aglay 24 ghanton mein mujhse Nikah nhi kiya na tw mein woh Haya ke parents aur family ko bhejdon ge."
"Tum itna gir sakti ho, yeh mein soch bhi nhi sakta tha."
"Aarish tumne mujhe girnay per majboor kiya hai, tumne Aarish."
"Mujhe phele hi sochna chahiye tha ke jo larki apna maa baap ko dhoka de sakti hai woh mujhse kya mukhlis rhay ge."
"Aarish mein tumse mohobat kerti hon, tumhe haasil kerna chahti hon."
"Haasil? Haasil tw tum mujhe kabhi nhi ker sako ge. Mein tumhara ho ker bhi kabhi tumhara nahi ho sakta. Kal subha tayar rehna court chalain gay."
**Flashback ends**
Aarish ke dil se Haya ko tw mein nikal ker hi rahon ge chahay mujhe iske liye kuch bhi kerna peray.

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now