Chapter 24

347 23 4
                                    

Journalism ki degree hath mein atay hi Haya ne apnay amma abba se Canada janay ki farmaish kerdi. Aur Haya ki qismat ne uska sath aisay diya ke Mississauga ki ek bohot bari company mein uski job confirm hogye thi.
Ammi ke bohot israr per Haya uski ammi ki phupho jo Hamilton mein rehti thin, Haya unse milnay chali gaye. Jab Haya wapas Mississauga janay lagi uski ammi ki phupho ne kaha, "Haya beta tum koi tour guide kyun nhi dhond leti abhi tumhari job shuro honay mein ek hafta hai aur tum wahan kisi jo janti bhi nahi ho."
Internet per 2 ghantay dhondnay ke bad Haya ne apne phone se ek tour guide ko call milayi.
"Khizar, Khizar Alam kehte hain mujhe."
"Tw ap mere tour guide hain, is haftay ke liye."
"Aap chahain tw hamesha ke liye bhi hosakta hon." Usne halki awaaz mein flirt kerte hoye andaz mein bola.
"Kuch kaha apnay?"
"Nahi, meri itni himmat kahan!"
"Tw Mr.Khizar phele kahan chalain?"
"Mujhe koi museum ya art gallery dekhni hai."
"Chalain phir."
They reached to the famous Art Gallery of Hamilton, it occupies a modern building in the centre of the city.
Khizar rushed towards the car before Haya, takay woh uske ke liye gari ka darwaza kholsakay hoye, "Tw kaisi lagi apko yeh jagha?"
"Mein peche bethon ge."
"Lekin mein driver nhi hon apka."
"Ek hi bat hai l, i am paying you for this."
Khizar's POV
Samjhti kya hai khud ko, jaisay bari koi Sanum Jung ya Mahira Khan lagti ho. Meri bezti ka badla mein tumse le ker rhon ka Miss Haya."
"Tw ab kahan chalain?"
"Mujhe apna kuch paper work complete kerna hai, isliye mujhe wapas Mississauga jana hoga."
"Bus 30 se 40 mint mein pohonch jayein gay, its just 48 km."
Author's POV
Haya ne koi jawab nhi diya.
"Maam ap kuch bolain ge nhi."
"Naahi."
Haya rude tw hamesha se thi, lekin Khizar Alam ke sath kuch zyada hi thi, shayd isliye ke woh jo kam uske liye ker raha tha Haya uske usse paisay de rhi thi.
"Mr. Khizar apke daily ke jitne bhi paisay hon ap pls uska daily hi hisaab kerlijiye."
"Woh ek sath hi kerlein gay ap konsa kahin bhagay ja rhin hain."
"Marzi apki."
"Agar apko koi aitraz na ho tw kya mein songs play kerdon."
"Gaari chori ki hai?"
"Nahi meri apni hai."
"Tw apki gaari apki marzi mujhse kyun poch rhain hain."
"Jee behter."
Haya sonay ki koshish ker rhi thi yeh dekh ker Khizar ne gano ji awaaz taiz kerdi, bechari Haya itni batamizi mein ijazat de chuki thi ke ab kuch bol bhi nhi sakti thi.

Shaayaron se lafz leke thode se udhaar
Bolna ye chahta hun dil se tumko yaar
Ho raha tha, ho gaya hai halka sa khumaar
Koi naa raha hai dil pe apne zor

Love me thoda aur!

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now