Chapter 14

377 33 5
                                    

Thori si ruswaye hai
Thora ghum judai hai
Khuda tujhse kya mein manglon
Kya kahay ga zamana?
Humsafar tha ya bahana?

Haya ne headphones kan se nikal diye. Haya ki zindagi Sanam ke ost lyrics se relate ker rhi thi. Woh pheli dafa dar gye thi. Usse zamanay ki perwah ho rhi thi.

*Haya reached Pakistan*
"Meri tw ankhain taras gye thi Haya ko dekhne ke liye." Haya ki ammi ne usse pyaar kerte hoye kaha.
"Ammi mein fresh honay jarhi hon, thori dair mein dholki mein bhi jana haina Taha ki."
Haya yeh bolker apnay kamray mein chali gye.
Dholki mein janay ke liye Haya tayar horhi thi, usne light pink color ki full sleeves shirt bheni hoi thi with yellow chori daar pejama. Dupata bhi tameez se liya hoa tha. Dholki mein mamool ki tarha sabki nazrain Haya per hi thin, lekin sab ajeeb tareqe se dekh rhay thay usse.
"Yeh Sydney gaye thi, ya Hajj kernay."
Haya is qisim ke comments apnay upeer jab sun sun ker tang agye tw woh uth ker Rija ke kamray mein chali gye. Taha kamray mein daakhil hoa: "Rija?"
Haya ko dekh ker woh shock mein agaya. "Haya tum? Kab ayi tum?"
"Tumhari shadi kaisay miss ker sakti thi? Tumharay nam ki mehndi khud lagaon ge mein Fiza ko."
"Tumhe kis bat ki takleef hai?" Taha ne hanstay hoye bola.
"Mujhe kyun takleef hoge, balkay khushi hai ke tum apna waada nhi nibha paye."
"Konsa waada? Tumharay intezar ka? Kis umeed per Haya akhir kis umeed per?"
Haya ghusse mein ajati hai, "You know what i dont give a damn, tum jisse bhi shadi kero."
Haya wahan se uth ker chali gye.
Haya shadi rukwana chahti thi lekin woh majboor thi Aarish ki wajhay se. Shadi mein abhi ek hafta baqi tha.
"Mumani jaan kya mein Haya ko apnay sath mall lejaon?"
"Rija mera mood nhi."
"Haya chali jao beta." Ammi ke behad israr kernay per Haya Rija ke sath chali gye. Lekin wahan Rija jatay hi Rija ne apna abaya utar diya. Haya ke liye yeh koi naye bat na thi, Rija ka hamesha ka yehi kam tha. Lekin is dafa uske sath ek larka bhi tha.
"Yeh kon hai?"
"Haya yeh mera bohot acha dost hai. Aur yeh Haya hai mere mamo ki beti."
Haya ko andaza horaha tha ke woh sirf dost nhi tha Rija ka.
H

aya ki badqismati yeh thi ke Phupho ne Haya Rija ko us larkay ke sath dekhliya aur wahan se hi un dono ko dantti hoi ghar le ayein. Sab ke samnay pochnay per Rija bol peri: "Ammi qasam uthwalein mein tw us larkay jo janti bhi nahi, usse Haya ne milnay ke liye bulaya tha."

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now