Chaptar 5

461 37 11
                                    

Shadi ke function se fatigh ho chuke thay, aaj Haya ki flight thi usne pant ke uper kameez aur dupatta liya hoa tha. Haya ki ami ne usse jatay hoye ek kitaab de. Usne moo bnatay hoye le tw li likin socha ke ab isse kon perhay ga. Airplane mein bethnay se phele Haya ne apnay kapray change kerliya, usne sleeveless shirt pehnli aur dupata utar ker wahin phenk diya.
Sydney pohonchnay mein abhi 2 ghantay baqi thay, usse nend bhi nahi arhi thi te usne majboran ammi ki de hoi kitaab nikal li. Us book ka ek random page khula aur perhnay lagi.
Haya is the most important characteristics that each and every Muslim should acquire and posses.
"Uff ek tw pta nahi mera nam Haya kyun hain, falto mein ami ka har topic Haya aur pakdamni per hi khatam hota hai." Usne book uthaker bag mein rakhli.
Kahin na kahin ab usse apnay kapron mein problem dikhayi dikhne lagi, usne apni dadi ka scraf jo uske bag mein rakha tha woh nikal ker galay mein dal liya. Sydney airport se jab woh bahar nikli tw zoor daar barish horhi hai, woh shade mein khari hoi taxi ka intezar kerrhi thi, likin taxi thi ke milnay ka dor dor koi chance nahi tha. Ab woh un kapron mein woh uncomfortable feel ker rhi thi. Usne apnay baray se scarf ko chadar ki tarha lapait liya tha.

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now