Chapter 45

269 28 6
                                    

"Hira tum ghar kyun jarhi ho?"
"Bhai woh Aarish ne mujhse maafi mangli hai. Aur mein apnay rishte ko ek aur moqa dena chahti hon."
Hira yeh sochna lagti hai ke agar Aarish ko pta chal gaya ke usne Khizar se itna bara jhoot bola hai tw woh kaisay react keray ga
"Aarish kya hum dono kuch dino ke liye kahin ghoomnay nhi jasaktay?"
"Han mein bhi kafi dino se yehi soch raha tha ke koi plan rakhtay hain. Tum Khizar aur Haya se bhi pochlo na is baray mein."
''Aap please Haya ki jaan chordein ab."
"Waisay tw mein tumhe kabhi maaf na kerta, lekin tumhari ghatiyan harkaton ki wajhay se Haya ko Khizar jaisa larka milgaya, is bat ki bohot khushi hai mujhe."

Khizar bed per leta hoa tha, "Khizar mujhe apse bohot zarori bat kerni hai, ap please meri taraf ek baar dekhain tw."
"Tum bolo mein sun raha hon."
"Acha mat dekhain. Mein apko yeh btana chah rahi thi ke, we are going to be a family very soon."
"Kyaa? Matlab tum-"
"Jee I am pregnant."
"Oh my God! Haya tum sach keh rahi ho?"
"Khizar mainay apse kabhi bhi jhoot nhi bola. Khizar Aarish mere saath saath Fareesa ka bhi bohot acha dost tha, jab Fareesa ne usse Hira ke baray mein pocha tw usne Fareesa ko yeh btaya ke woh pochle 3 hafton se Islamabad mein tha."
"Kyaa? Aarish Islamabad mein tha? Tw phir Hira ne yeh sab kyun kiya?"
"Kyunke woh mujhse nafrat kerti hai, lekin Khuda gawah hai mainay kabhi bhi Uska bura nahi chaha. Aap Aarish se Khud pochlein."
"Nahi uski zarorat nhi hai, mujhe aitbar hai tumhari bat per."
"Khair aitbaar tw nahi apko." She smiled at him.
"Acha na sorry yar! Mein bohot khush hoon. Bohot bohot bohot khush. Like itna ke I can't even explain."

Haya aur Khizar, Hira ko baghair btaye uske ghar pohocnh gaye.
"Bhai aap?"
"Kyun? Mein nhi asakta?"
"Yeh kaisay baat ker rhay hain ap mujhse." She then turned towards Haya, "Tumne bharkaya hai isko, aur kiska kaam hosakta hai yeh. Tumhe tw mein zinda nhi choron ge."
Itne mein Aarish bhi wahan agaya, "Arey Khizar Haya, tum log. Darwazay per hi saari bataain kerlogay ya andar bhi ao gay."
"Hira mujhe tum per kitna bharosa tha, aur tumne yeh kya kerdiya mere saath." Khizar ki ankhoon mein ansoo thay, Haya usko dekh ker hairan reh gye, Shayd usne Khizar ko pheli dafa rotay hoye dekha tha.
"Khizar please! Tum bhai ho mere mein tumharay saath kuch bhi ghalt kyun keron ge."
"Hira mujhse sab pta chal gaya hai, jis shohar per tumne jhoota ilzam lagaya tha woh bechara tw 3 haftay se Karachi mein tha hi nahi."
"Ilzam? Kya matlab hai Khizar tumhara?"
"Mein btati hon", Haya boli, "Hira ne Khizar se kaha tha ke tum usse martay ho, woh bhi meri wajhay se."
"Oh! Acha isliye Fareesa ne mujhse yeh pocha tha."
"Fareesa?" Hira hairani se Haya ko dekhti hai.
"Hira tumne aisay kyun kiya? Kya dushmani hai tumhari meri biwi ke saath, tumhe Aarish chahiye tha so woh tw tumhe mil gaya, ab kya chahti ho tum?"
"Is Haya ne meri zindagi barbaad kerdi, tum jantay ho Khizar jab mere bachpan ke mangater ne Haya ko dekha tw usne mujhe chordiya, yeh wajhay thi, yeh manhoos woh wajhay thi Khizar."
"Lekin is mein Haya ka kya qasoor?"
"Aarish tum tw chup hi kero. Tum tw mere dost thay na, tumhe bhi Haya hi pasand ayi. Mein tumse mohobat kerti thi. Is Haya ne kabhi bhi tumse mohobat nhi ki."
"Haan nahi ki. Hira tumne hi mujhe Aarish ko pasand kernay ke liye force kiya tha, tum ek baar mujhe btaker tw dekhti."
"Mujhe tumse nafrat hai, aur mein tumhe barbaad kerdon gee."
Khizar ne shadeed ghusse mein aker Hira ke moo per thapar mardiya.

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now