Chapter 20

301 30 1
                                    

"Hira kahan thi tum? Aur Aarish mainay kitni calls ki tumhe."
Hira ek tanziya muskurahat dete hoye bolti hai,"Hairat hai, tumhe Aarish ko mere sath dekh ker bhi kuch nhi hoa."
Haya pareshan hojati hai, "Kya matlab? Kya kehna chah rahi hi tum?"
"Yeh ke mainay aur Aarish ne court marriage kerli hai. Waisay tw mein tumhe btana zarori nhi samjhti thi. Lekin yeh soch ker btadiya ke tum mere Aarish ke peche apni zindagi na barbaad kerdo. Tum jao Taha se shadi kero, kyun Aarish mera tha mera hai aur mera hi rhay ga."
Haya ko tw jaisay sakta hogaya tha, woh kuch bhi bolnay ki halat mein nhi thi.
Lekin Hira ka confidence dekh ker Fareesa bol peri, "Yeh kya kiya Hira tumne, tumne hi tw Haya ko Aarish se mohobat kerayi thi aur ab tum ne hi-"
"Isse kuch mat kaho Fareesa," Haya ne Fareesa ki bat kat di, "mujhe koi farq nhi perta. Mein indono ko is qabil bhi nhi samjhti ke lanat bhejon. Meri flight miss hojayr ge Allah Hafiz."
Haya per jaisay koi pahar toot aya tha. Sab se zyada usse Aarish ki khamoshi pareshan ker rhi thi.
"Akhir Aarish ki rokti nazrain mujhse kya kehna chah rahi thi, Agar Hira ko Aarish pasand tha tw mujhe kyun usse mohobat kerwayi. Mein bhi bewaqoof hon Hira ke badaltay rawaye se andaza laga lena chahiye tha. Lekin ab kya? Kya mujhe sach mein Taha se shadi kerleni chahiye ya nhi?" Haya airplane mein bethi hoyi yehi sochti rahi. Abhi Pakistan anay mein 2 ghantay baqi thay tw usne headphones lagaye aur ganay play kerdiye.

Khamoshiyan aawaaz hain
Tum sun’ne to aao kabhi
Chhukar tumhe khill jaayengi
Ghar inko bulaao kabhi
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan

Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua
Jahaan se zamaane ko guzre zamaana hua
Mera samay toh wahin pe hai thehra hua
Bataaun tumhe kya mere sath kya kya hua

Khamoshiyan ek saaz hai
Tum dhun koi laao zaraa
Khamoshiyan alfaaz hain
Kabhi aa gunguna le zara
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa.. haa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan

Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahaan
Khili chandani mein chhipi lakh khamoshiyan.
"Uff mere Malik mujhe bhi yeh sad song hi mila tha play kernay ke liye."

**Kya Haya jealous ho rahi hai? Ya usse sirf ghussa hai?
Kya Aarish ki koi bhi ghalti hai? Haya ne tw usse kabhi bhi confess nhi kiya tha, tw kya Aarish ne Haya ki khamoshi suni nhi ya koi aur bat hai.
I'll update a new chapter very soon InshAllah.

“Beware of jealousy, for verily it destroys good deeds the way fire destroys wood.” [Abu Dawood] **

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now