Chapter 52

285 26 4
                                    

Thankyou so much @irtezaaliii for the amazing collage.

"Kya zindagi guzarnay ke liye kisi saharay ka hona zarori hota hai?" Haya ne ammi se chirte hoye kaha.
"Haya beta! Yeh pahar jaisi zindagi tum akele kaisay guzaro ge?"
"Ammi mujhe pata hai ke aap pareshan hain. Lekin apki in batoon se mein pereshan hoti hon."
"Beta tw tum hi btao ke mein kya keron? Mujhse tumhara yeh haal nahi dekha jata."
"Assalam O Alaikum!" Haya aur uski ammi ne peche mur ker dekha tw Afreen kamray ke darwazay se andar daakhil horahi thi.
"Beta Afreen, tum hi isko samjhao. Meri tw yeh sun nahi rahi."
"Jee mein isse bat kerti hon. Ammi neeche apka wait ker rahi hain."
Haya ki ammi kamray se bahar chali jati hain. Afreen Haya ke brabar mein bethti hai, tw Haya uski goud mein sar rakh ker lait jati hai.
"Please Afri ab tum bhi shadi wali zidd kerna mat shuro hojana."
"Nahi ker rhi. Tum yeh btao ke wapis Canada kyun nahi chali jati."
"Nahi ja sakti. Wahan har jagha Khizar nazar aye ga."
"Haya phir tum bat man lo. Shadi kerlo Aarish se. Pasand bhi kerta hai tumhe. Aur ab tw Hira bhi yehi chahti hai."
"Nahi kersakti. Khizar ke ilawa kisi ka nam nahi joor sakti mein apne naam se."

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now