Chapter 23

335 27 2
                                    

Aarish's POV
Haya kya soch rhi hoge mere baray mein? Flirt samjh ker bhool jana mujhe Haya. Tumhari ankhoon mein jo ansoon thay mein unhe kabhi nhi bhula paon ga. Agar ho sakay tw mujhe maaf kerdena. Haya tum meri na ho saki tw kya hoa, mein tw tumhara hon na aur zindagi bhar tumhara hi rahon ga. Hira sari zindagi bhi koshish kerle tw bhi mujhe haasil nhi ker paye ge. Mein Hira ki zindagi ki sab se bari ghalti ya phir gunha banjaon ga.
Author's POV
Fareesa:"Hayaaaaa, meri jaan kya btaon tumhe kitna miss kiya mainay."
Haya:"Pata nae mere bhi 5 mahinay kaisay guzray tumharay baghair."
Fareesa: "Aur kya chal raha hai life mein?"
Haya:"Kuch zyada nahi bus in 5 mahinon mein move on kernay ki koshish hi ki hai mainay. Mujhe ab bhi samjh nhi araha ke yeh sab hoa kaisay? Aur meri hi dost ne mujhe itna bara dhoka kyun diya?"
Fareesa:"Jealous hoti thi Hira tumse, tum har cheez mein perfect ho uske pass kya hai?"
Haya:"Agar mein itni perfect hon tw mujhe woh kyun nhi mila?"
Fareesa ki khamoshi saaf zahir ker rhi thi ke uske pass Haya ke sawal ka koi jawab nahi hai. Jab ammi kamray mein daakhil hoyi tw kamray mein ek ajeeb si khamoshi thi.
"Tum larkiyaan itni chup kyun ho?"
Haya ko tw kuch samjh na aya albata Fareesa ne jawab de diya, "Aunty woh hum shopping per jaanay ka plan ker rhay thay. Tw kya apki ijazat hai?"
"Haan zaroor. Acha hai Haya ki bhi thori si outing ho jaye ge. Jao beta."
Ammi ke kamray se bahar jatay hi Fareesa bolti hai, "Haya you need to move on."

**Kya apni pheli mohobat bhula dena itna mushkil hai.
Most people believe agar woh shaks apkay samnay se chala jaye ap jagha tabdeel kerlein tw ap us shaks ko bhool jatay hain if this is true then Haya Aarish ko kyun nhi bhool pa rahi?

Teri soorat se nhi milti soorat kisi ki
Teri soorat se nhi milti soorat kisi ki
Hum jahan mein teri tasaweer liye phirte hain. **

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now