Chapter 3

575 47 5
                                    

Haya apni dadi ke kamray mein daakhil hoti hai, tw usse apna bachpan ka woh waqt yaad ajata hai jab uski dadi hayat thin. Woh jaker dadi ke bistar per beth jati hai. Ahista ahista uski ankhoon se ansoon nikalnay lagtay hain aur na janay woh kab siskiyaan le le ker ronay lagjati hai:"Dadi? Aap kahan chali gayein dadi? Apki Haya ko abhi bhi apki zarorat hai. Dadi apki Haya apni haya bhool gye hai. Dadi aap kyun chali gyein?"
Haya yeh soch rhi hoti hai ke kya jo kuch woh soch rhi hai woh ghalt hai. "Likin mein kuch ghalt tw nahi kerrhi. Mainay kisi se batamezi bhi nhi ki kisi ka dil bhi nhi dukhaya kabhi, tw aaj apke kamray mein aker mein kyun guilty feel ker rhi hon."
Haya un hi ke kamray mein rotay rotay sojati hai. Usse khuwab mein apni dadi ke sath apna bachpan nazar ata hai. Woh dekhti hai ke uski dadi uske ghar ke lawn mein hain, likin wahan bohot saray phalon ke darakht hotay hain jo uske lawn mein na thay. Jab woh dadi ke pass jati hai tw dekhti hai ke uski ek aram deh royi ke jaisay bistar per leti hoti hain. Jab woh unke pass jati hai tw woh moo mor leti hain.
"Dadi? Dadi ap meri taraf kyun nahi dekh rhin."
Tw uski dadi afsurda shkl bnaker ker kehti hain:"Tum kon hai?"
"Dadi mein Haya,  apki Haya."
"Tum meri Haya kaisay hosakti hon tw mein tw apni haya bhi nhi hai."
"Dadi ap yeh kya khay rahin hain? Aap yahan kyun bethi hain ghar chalain na."
"Mujhe wahan nahi jana, mein yahan khush hon."
"Tw theek hai,mein bhi apke sath yahin rukon ge."
Tw dadi achanak ghusse mein ajati hain:"Yeh jagha tumharay liye nahi."
Itnay mein Haya ki ammi usse jaga deti hain:"Beta tum yahan kya ker rhi ho?"
"Ammi dadi, woh dadi, dadi mujhse naraz hain."
"Beta tumne unhe akhiri dafa perh ker kab bakhsha tha?"
"Yaad nahi ami."
"Bus beta phir unhe perh ker bakhs do ishi liye woh tumse naraz honge."

**Islam encourages and treasures Al- Haya or modesty**

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now