Chapter 50

267 26 9
                                    

**Half century 😀😀😀
Don't worry full century nahi keron ge. The story is coming towards its end. Just a few more chapters to go.**

Check out my new novel
CHUBTAY LAMHAY

"Haya mein dil se chahti hon ke tum Aarish se shadi kerlo. Aarish tumhari hi qismat tha, Khizar tw bus ek zariya tha." Hira Haya se behad israr ker rhi thi.
"Mera Nikah Khizar se hochuka hai. Mein ab martay dum tak uska nam apnay nam ke agay se nahi hataon ge." Haya ne kaha.

Haya ke ammi abbu bhi chahtay thay ke Haya shadi kerle.
"Beta tumhari iddat bhi kab ki pori hochuki hai. Tumne kya socha hai agay ke baray mein?"
"Abbu mujhe aisa lagta hai ke meri zindagi ruk gaye hai. Mein jeena hi nahi chahti."
"Haya tumne hamesha apni bat manwayi hai, per ab aur nahi. Ab tumhe hamaray liye shadi kerni hoge."
"Ammi mein ap boj nahi ban rahi hon. Apko isse kya hai?" Haya uth ker apnay kamray mein chali gaye. Usne darwaza zoor se band kerliya.
"Khizar? Kahan chalay gaye ho tum? Mujhe zarorat hai tumhari. Dekho na yeh sab kya chahtay hain. Mein sirf tumhari thi, aur tumhari rahon ge. Mein khud se tw bewafayi ker sakti hon lekin tumse nahi."
Flashback starts
"Khizar aap kya ker rhay hain?"
"Soch raha hon, ke tum mujhse zyada mohobat kerti ho ya mein tumse."
Haya ne muskuratay hoye kaha, "Le! Ismein sochnay wali kya bat hai. Obviously aap mujhse zyada  mohobat kerte hain."
Khizar hansdeta hai, "Waisay bari hi koi beghairat ho tum."
"Mazak ker rhi thi, mein apse waada kerti hon ke mohobat aur wafa ki dor mein hamesha apse agay rahon ge."
Flashback ends
"Yeh kya kerdiya Allah Miyan apnay. Mujhe kis moor per leaye?" Haya ab guest room se wapis Khizar aur apnay kamray mein shift hochuki thi.
"Kitna sukoon hai is kamray mein. Aur mein aisay hi ismein nahi ana chahti thi. Yahan Khizar dikhta hai mujhe."
Haya bed per laittay hi sogaye. Aaj bohot arsay bad woh sukoon se so saki thi.
"Kaisi ho Haya?" Fareesa ke phone Haya jag gye.
"Theek. Tum kaisi ho?"
"Tum so rahi thi? Sorry Yaar!"
"Koi baat nhi. Waisay bhi kafi dair so li. Is bed per aisa mehsos horaha tha ke Khizar mere saath hai."

**So people, kya lag raha hai ap logon ko? Kya Haya Khizar ko bhula paye ge? Kya woh Aarish se shadi kerlege? Kya koi aur uski zindagi mein aye ga? Ya woh Khizar ki yadoon ke saharay zinda reh lege?**

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now