Chapter 38

302 30 7
                                    

Dholki #2
"Afreen aaj Khizar ki family bhi hoge. Mein bohot nervous hon. Unhe mein pasand tw ajaon ge na."
"Haya agar tum na bhi pasand ayi tw ab tw kuch nhi hosakta." Fareesa ne Haya ko cherte hoye kaha.
"Arey na tang kero tum log isko."
"Ammi dekhain na."
"Acha chalo sab mehman arhay hain tum larkiyan jao unko receive kero."
Haya ki ammi ki ankhoon mein ansoo thay.
"Ammi khud ko sambhalein. Agar ap rodein tw mein bhi rojaon ge. Aur mera sara makeup kharab hojaye ga."

Mehndi laga rakhna
Doli saja ke rakhna
Mehndi laga rakhna
Doli saja ke rakhna
Lene tujhe o gori
Aayenge tere sajna
Mehndi laga rakhna
Doli saja ke rakhna
Oh.. ho.. oh.. ho..
O.. aa..
Sahra sajake rakhna
Chehra chhupake rakhna
Sahra sajake rakhna
Chehra chhupake rakhna
Yeh dil ki baat apne
Dil mein dabake rakhna

"MashAllah Khizar ki choice tw bohot pyaari hai." Khizar ki mumani ne Haya ki balayein lete hoye kaha.
Sab larkiyan ganaay ga rhi thin. Lekin Haya ki nazrain sirf Khizar ko talash ker rhin thin. Woh samjh rhi thi ke Khizar bhi aye ga lekin woh na aya tha.

 Woh samjh rhi thi ke Khizar bhi aye ga lekin woh na aya tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Yeh Haya hai." Taha ne apni biwi se usse introduce kerwaya.
"Mainay bohot suna hai tumharay baray mein."
"I hope acha hi suna hoga."
"Obviously tumhari phupho tumhari itni tareefain kerti hain."
Haya soch rhi thi ke ya tw yeh larki jhoot bol rhi hai, ya tw phupho sudhar gyein hain. Unhe tw hamesha se hi Haya napasand thi.
Ganoon ki awaaz itni taiz thi ke Haya ko apni awaaz bhi mushkil se sunayi derhi thi, "Bhabhi ap bhi ganay gayein na sabke saath."
Mehandi hai rachne waali
Haathon mein gehri laali
Kahein sakhiyaan ab kaliyan
Haathon mein khilne waali hain
Tere man ko, jeevan ko
Nayi kushiyaan milne waali hain

Ho hariyali banno..
Le jaane tujh ko guiyaan
Aane waale hain saiyaan
Thaamenge aa ke bahiyan
Goonjegi shehnaai angnaai.. angnaai..

Mehandi hai rachne waali
Haathon mein gehri laali
Kahein sakhiyaan ab kaliyan
Haathon mein khilne waali hain
Tere man ko, jeevan ko
Nayi kushiyaan milne waali hain

Sab log dance kernay mein masroof thay, lekin Haya ko sakhti se mana tha ke woh dance nhi kersakti.
Haya hi Tayi, phupho, khala, mumani aur ammi sab dance ker rahay thay.

Gaayein maiya aur mausi
Gaayein behna aur bhabhi
Ki mehandi khil jaaye
Rang laaye hariyali banni
Gaayein phoophi aur chachi
Gaayein naani aur dadi
Ki mehandi man bhaaye
Saj jaaye hariyali banni
Mehandi roop sanvare 
Ho mehandi rang nikhare
Ho hariyali banni ke
Aanchal mein utarenge taaray

Dholki ka function dair rat tak chalta raha. Woh Khizar se bat kernay ke intezar mein thi. Lekin jab woh apnay kamray mein gaye tw Fareesa ne uska phone chupaliya.
"Yar Fareesa batamezi nhi kero. Mujhe Khizar se bat kerni hai. Phone do mera."
"Ab tw yeh phone tumhe shadi ke bad hi mile ga. Balkay Aisa kerna tum naya lelena yeh mujhe hi dedo."
"Bhar mein jao! Mein kal mehndi mein mil lon ge usse."
"Sirf dekh ker hi kam chalana magar. Kyunke mein baat nhi kernay doon ge. Kabab mein hadi bani rahon ge full time."
"Uff yeh samaj ki deewar. Bhar mein jao jo dil keray kerlo. Waisay bhi mujhe usse bat kernay ke liye kisi phone ki zarorat nhi."
"Woh kaisay?"
"Ilhaam, bachay humain ilhaam hotay hain."
"Hahahha. Han bhaye mohobat mein ilham na ho tw fite moo mohobat ke."

**I hope you guys are enjoying Haya and Khizar ki shadi ke functions.
But if yoy guys are getting bored. Don't worry bus shadi hojanay do, the real love story would begin. And obviously so many new twists.**

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now