Chapter 31

261 26 2
                                    

"Yeh khizar akhir khud ko samjhta kya hai? Over na ho tw."
Haya ko ghussa tw tha lekin is bat ka sakoon tha ke uski apne parents se bat hogye thi.
Haya zameen per bethi hoyi thi tw Khizar kamray mein pani ka jug aur glass leker aya. Usne chup chap pani rakha aur wahan se chala gaya, lekin jatay hoye usne kamra lock nhi kiya. Haya ne moqay se faida uthaya aur uske kamray ke taraf barhi. Khizar us waqt kisi se phone per bat ker raha tha.
"Mujhe lagta hai ke Haya ke saath ziyati horahi hai, agar mein usse mohobat kerta hon tw yeh kya tareeqa hai usse yaqeen dilanay ka."
Itne mein Khizar ko mehsos hoa ke koi darwaza per khara hai.
"Acha ruko mein tumhe call kerta hon."
Khizar kamray se bahar aya, "Tum yahan kya ker rhi ho?"
"Mohobat? Kya tumhe lagta hai ke mein mohobat ke qabil hon?"
"Haya dekho tum, neri bat suno..."
"Kya bat suno mein tumhari, mujhse mohobat ke daway kernay walay mard humesha farebi nikaltay hain. Tum bhi 2 din mein realize kerlo gay ke mein mohobat ke qabil nhi. Zahiri khoobsoorti se kya hota hai, Haya tw giri hoyi hai, woh tw is qabil hi nahi ke kpi usse mohobat keray."
Haya rotay hoye apnay kamray mein chali gayi, aur usne khud ko kamray mein lock kerliya.

Tu bhi akela hai, tanha hoon mein bhi yahan
Na janay yeh tanhayi le jaye ge ab kahaan
Hathon mein tere likha naam ek ajnabi ka
Samnay woh khara hai kinara meri zindagi ka
Janaay yeh khudai hai
Dil mein tu samayi hai
Khuda tujhse kya mein mangloon
Kya kahaay ga zamana
Humsafar tha ya bahana
Jeet jayein duayein
Bus yeh dua hai meri.

"Haya darwaza kholo. Please Haya meri baat suno. Haya please. Haya kholo na yaar."
"Khudkushi nhi keron ge mein pareshan mat ho."

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now