Chapter 13

362 30 2
                                    

Haya ke darwazay per dastak hoi, jab usne darwaza khola tw wahan koi nhi tha. Wahan ek letter pera jiske sath hi ek usb bhi thi.
"Haya is usb mein tumhari kafi sari tasweerain hain, yeh sari tasweerain mein tumhari family ko mail kersakta hon. Aur sath hi ismein ek audio hai jismein tumhari Taha ki shadi rukwanay ki sari batain hain. Tum agar chahti ho ke yeh bat raaz hi rhay tw tumhe meri bat manni hoge."
Yeh perh ker Haya ki jaan nikal gaye thi. Usko jo phela khayal aya tha woh yeh tha ke yeh sab Aarish ki harkat hai, wohi Haya ke peche hath dho ker per gaya hai. Haya ne foran Aarish ko phone milaya lekin Aarish ka phone band ja raha tha.
Haya ko kuch samjh nahi araha tha. Itnay mein uska phone baja, usse laga ke woh Aarish hoga lekin Afreen ki call thi. Haya ne call recieve kerli aur Afreen ko sab kuch btadiya.
"Haya tum pagal ho kya? Tumhe tw Taha pasand hi nhi tha tw tum yeh kernay kyun wali thi."
"Mujhe kuch nahi pata, Afri yeh kya hogaya mere sath."
"Agar woh pictures chacha ya chachi ne dekhlin tw tumhari tw zindagi barbad hojaye ge."
Haya ne phone kant diya aur woh rona start hogye. Usne jaker wuzo kiya aur Namaz e Hajat perhnay lage. Usne ro ro ker duayein mangi ke kisi bhi tarha Allah uski faryaad sunle aur woh is mushkil se nikal jaye.
Woh dua hi mang rahi thi ke darwazay per dastak hoi. Haya ne darwaza khola tw wahan phir se koi nhi tha aur ek letter pera tha, Haya ne foran woh letter uthaliya.
"Daro mat mein kuch nhi keron ga, tum bus Taha ki shadi sakoon se honay dena aur apni dressing behter bnalena. Baqi mein kuch nahi keron ga."
Haya is soch mein perh gye ke yeh jo koi bhi hai isko Taha ki itni perwah kyun horhi hai.
"Kahin yeh sab Taha hi tw nhi kerraha. Lekin Taha ke pass woh pictures aur audio kahan se aye ga. Uff mere Malik meri madad farma."

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now