Chapter 21

344 27 3
                                    

"Haya meri beti, tum nhi janti tumnay wapas aker mujhe kitni khushi di hai." Haya ki ammi tw khushi se pagal hoi wi thi.
"Arey bhaye, usko araam kernay, itna lamba safar tha thuk gaye hoge." Abbu ne hanstay hoye kaha.
"Abhi nhi sonay don ge mein, abhi tw mainay jee bhar ke dekha bhi nahi isko."
"Ammi ab mein yahin rhon ge, ab jee bhar ke dekhlega. Abhi mein thuk gaye hon thori dair araam kerna chahti hon."
"Han jao beta. Warna tumhari maa ki tw batain kabhi khatam nhi honay walin."
"Chalo TV dekh leti hon."
Haya ne TV ka remote uthaya aut HumTv lagaya.
"Uff Allah Hum walon ne phir Humsafar lagadiya. Ab tw poora drama rat chuka hai."

Beecharte waqt un ankhon mein,
Thee hamari ghazal
Beecharte waqt un ankhon mein,
Thee hamari ghazal

Ghazal bhi wo jo,
Kisi ko kabhi sunayi na thi
Ghazal bhi wo jo, 
Kisi ko kabhi sunayi na thi.

"Aaj kal tw jo dekho, jo suno usse udasi hi hoti hai. Uff Haya apnay dmagh mein bithalo that you only love Taha. Aarish tw kabhi tumhari life mein aya hi nahi tha."
Haya abhi yeh soch hi rahi thi ke ammi ne aker usse kaha ke phupho, Taha aur Rija aye hain.
Kafi dair un logon ke sath bethne ke baad Haya uth ker apne kamray ki gallery mein chali gaye.
"Mein andar ajaon?"
"Arey haan Taha ao na."
"Mein kabse soch raha tha tumhe btaon, mein tumhe call bhi kernay wala tha lekin mumani ne btaya je tum anay wali ho tw maiany socha ke jab ao tumhe tab hi btaon."
"Aisi kya bat hai?"
"I am in love."
"Kya? Kisse?"
"Mere office mein ek larki job kerti hai, Sana nam hai."
"Kya woh bohot khoobsorat hai?"
"Hai tw lekin Haya tumse kam. Magar pata hai kya mujhe ehsas hogaya hai ke zahiri husn kuch nhi hota insan ko andar se khoobsorat honay chahiye."
"Kya baatain chal rahi hain yahan? Rija bhi wahan agye.
"Kuch nhi bus aisay hi. Ghar chalain?"
"Han mein bhi yehi bolnay ayi thi ke ammi bula rahin hain apko."
Haya ne Taha ke jatay hi khud ko kamray mein band kerliya tha.
"Kya hogaya yeh mera sath. Allah miyan kyun? Mein hi kyun? Phele Aarish aur ab yeh Taha. Taha tw hamesha se mere peche tha yeh achanak se isse kya hogya? Mera bhi na bilkul dmagh kharab hai fazool mein gar kisi ki batoon mein ajati hon. Bus ab no time for mohobat Haya Faizan ab sirf career."

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now