Chapter 37

315 29 1
                                    

Finally the day of dholki..
"Rija yaar sahi se practice kero, tumhe tw Haya ka pta haina usse sab kuch perfect chahiye hota hai." Afreen sab ki dance practice check ker rhi mehndi ke din ke liye.
"Arey Fareesa yeh wala gana mehndi mein play kerain gay jab Haya ko stage per leker ayein gay. Aaj tw bus khareeb khareeb ke log hain tw hum log practice per hi focus lerlein gay."
Haya dholki ke 2 din phele se hi Taya ke ghar ruki hoyi thi.
"Yar sara set up tw hogya, ab teh btao mainay konsay gannay per dance kerna hai?"
"Dekhi hai kahin itni besharam dulhan jo apni hi shadi mein nachay ge." Fareesa ne Haya ko cherte hoye bola.
"Uff toba toba kya zamana agaya hai." Afreen ne bhi Fareesa ke sath milker Haya ko tang kerna shuro kerdiya.
"Tum dono chup hojao. Abhi tw sirf larkiyan hi honge. Mehndi walay din nhi keron ge tum log ab zyada meri amma na bano." Haya ne chir ker bola.
"Haya beta ja ker tayar hojao mehman atay hi hon gay. Afreen Haya ko jaker tayar kerdo."
"Jee ammi. Chalaye dhulhania sahiba."

"Jab Sydney se ayi thi tw lagta tha ke hajj kerke ayi hai. Ab dekho zara isko."
"Ab agye na wapis apni auqat per. Haya kabhi sudhar hi nhi sakti."
"Yar yeh log kon hain. Aur Haya ke baray mein kya bakwas ker rhay hain?" Fareesa ne Afreen se pocha.
"Arey koi nahi. Desi auntiyon ka tw favorite masghala(hobby)  hai gheebat kerna. Tum dafa kero. Rija ki performance bus khatam hogye hai, ab Haya ki bari hai, usse stage per bhi lana hai."

Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh bole re zamana kharabi ho gayi
Mere ang raja, jo tera rang laga
Toh seedhi-saadi chhori sharabi ho gayi
Itna maza, kyun aa raha hai
Tune hawa mein bhaang milaya
Itna maza, kyun aa raha hai
Tune hawa mein bhaang milaya
Dugna nasha, kyun ho raha hai
Aankhon se meetha tune khilaya
Ho teri malmal ki kurti gulabi ho gayi
Manchali chaal kaise nawaabi ho gayi, toh?
Balam pichkari jo tune mujhe maari
Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi
Haa Jeans pahen ke jo tune maara thumka
Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi 

Balam pichkari jo tune mujhe maariToh bole re zamana kharabi ho gayiMere ang raja, jo tera rang lagaToh seedhi-saadi chhori sharabi ho gayiItna maza, kyun aa raha haiTune hawa mein bhaang milayaItna maza, kyun aa raha haiTune hawa mein bhaang mila...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Chalo larkiyoon dance bohot hogya ab khanay khul gaya hai."
Haya ki ammi ne larkiyon se aker bola.
"Mummani jaan abhi tw hamara mood nhi. Tw kya hum log gaanay ga lein?" Rija ne pocha.
"Chalo yeh theek hai."

Khizar kabse Haya ke mobile per phone ker raha tha, magar Haya ka phone uper Afreen ke kamray mein rakha hoa tha.
"Arey Khizar bhai ki itni missed calls. Aisa kerti hon phone kerke bat kerleti hon."
Khizar ne phone uthate ho bolna shuro kerdiya,  "Kahan ho tum shaam se tumhe call ker rha hon. Yar miss ker raha hon tumhe. Janti hona tumhari awaaz sunay baghair nhi reh sakta."
"Arey arey sabar kerain jiju. Mein Fareesa hon. Apki begum neeche apni dholki enjoy ker rhi hain."
"Acha aisa kero uski ek picture hi bhejdo."
"Picture tw mein bhejdon ge lekin ab mehndi walay din se phele hum Hay se apko bat nhi kerwayein gay."
"Arey yeh kya bat hoi?"
"Byeeee jiju."
"Arr-"
Fareesa ne phone kant diya. Aur neeche Haya ke pass chali gye.

"Yeh lein jiju, yeh rahi apki Haya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Yeh lein jiju, yeh rahi apki Haya."
Fareesa ne Khizar ko picture send kerdi. Khizar ne msg seen kerliya magar koi reply nhi kiya.
"Abhi tw Khizar ko Haya se bat kernay ki itni jaldi thi, aur ab tareef bhi nhi ki. So weird."
"Tum kahan kho gye?" Haya ne Fareesa se pocha.
"Arey kahin nhi, tum yeh lo apna phone raat mein yaad se jiju ko phone kerlena."

Dholki ka function khtam hogya tha aur sab log apnay ghar chalay gaye thay. Haya ne moqa milte hi Khizar ko phone kiya, "Sorry yar, bohot busy thi, isliye bat nhi kerpayi. Tumne picture dekhi meri? Mein kaisi lag rahi thi?"
"Haya mein agar kuch kahon tw mano ge? Mind tw nhi kero ge."
"Nahi. Tum bolo."
"Yar you were looking so pretty. Lekin shadi attend kernay mere mamo aur mumani bhi ayein gay. Aur mein nhi chahta ke woh tumhe aisay kapron mein dekhein."
"Kya woh log arhay hain. Mein bohot khush hon."
"Haya I hope tumne meri bat ko mind nhi kiya hoga."
"Agar tumhe acha nahi laga tw don't worry mein ainda dehan rakhon ge. Waisay bhi yeh all girls event tha isliye mainay yeh pehan liya."

"Aaj Khizar ka mujhe tokna mujhe kyun acha lag raha hai? Phele agar koi kehta tha tw mein kitna bura manti thi."

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now