Chapter 10

396 33 0
                                    

Haya aur Fareesa Sydney Opera ke samnay walk ker rhay thay. Fareesa pani lenay gye tw Arish Haya ke pass agya.
"Finally apna deedar kera hi diya tumne."
"Apki problem kya hai? Kyun meri jaan nhi chorte?"
"Jaan chornay ke liye nahi pakri thi mainay."
"Whatever." Yeh bolker Haya agay chali gye. Ab Fareesa bhi wahan achuki thi.
"Hai kon yeh Haya."
"Pta nae kon hai, zindagi azaab kerdi hai qasam se meri."
"University ka hai kya?"
"Pta nae." Yeh keh ker Haya ne ek gehri sans li, phir halki si smile kerdi.
Ghar atay hi Haya ko phir Arish ki call ayi, "Apko nahi lagta ke aap apni moral values aur culture bilkul hi bholti jarhi hain."
Haya foran ghusse mein agye, "Aap atay kon hain mujhe sikhanay walay, mein jo ker rhi hon woh mera masla hai apka nahi."
"Mujhe perwah hai tumhari isliye bol raha hon."
"Apko perwah hai meri?" Haya muskuradeti hai yeh kehtey hoye.
"Jee hai."
"Kyun aap bhai lagay hain mere."
"Bhai bolker dil tor diya apnay tw."
Yeh sun ker Haya phone rakh deti hai. Usko Arish per beinteha ghussa hota hai lekin woh yeh soch ker chup hojati hai ke akhir Arish kuch ghalt nhi bol raha. Haya sirf ek patla sa dupata hi tw dalti thi galay mein ab woh bhi chordiya hai usne. Half-sleeves se sleeveless mein achuki hai woh.
"Agar ammi ya abbu ne mujhe aisay dekhliya tw woh kitna naraz hongay mujhse."
Flashback
Ammi:"Faizan ap Haya ko akele bhej rhain hain, woh bahar jaker kahin bigar na jaye."
Abbu:"Mujhe apni beti per pora aitmad hai, woh aisa kuch nhi keray ge jisse mera sar sharam se jhuke."
Flashback ends.
"Uff mere Allah, mein kuch gahlt nahi ker rhi. Mein kyun guilty feel ker rhi hon."

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now