Short part .....To be continued previous part.....
Hm comes from bathroom.....
She sees Ks packing her bag .....
Hm- kya kar rahi hai aap ye .....
Ks- dimag ke sath aankhe bhi kharab hue hai aapki .....
Packing kar rahe hai ......
Hm- sidha jawab nahi dena aata aapko ....
Ha dengi bhi kaise.... Tedi jo hai aap .....
Ks- itna agar pata hai to ye integration band kijiye jara .....
Hm- ha par jana kyu hai yahase aapko .....
Ks- to kya sari umar yaha pade rahe .....
Hamara apna ghar hai ....
Hm- ye bhi to aapka Ghar hai .....
Ks- Nahi ..... Aapke gharme dhokebaaz log nahi rah sakate .....
Wo kya hai .....unka aapke yaha rahana thik nahi .... Pata nahi kab aapko dhokha de jaye ....
To chat fit ki duri hai jaruri ......
Hm- aapki sue wahi par atakegi na .....
Ks- Nahi ..... Kyunki ham ab thak chuke hai ....
Apne aapko sabit karke ..... Aapne aapko aapki najaro me sahi banane ke liye....
Aapke vishwas ko har baar lakh koshish karke bhi na jitne se .....
Aapko ye samjate hue ki ham aapke kabil ban sakate hai ..... Jise aap kam se kam is layak to samje jise judi hue baat aap kah sake .....
Ham thak gaye hai..... In halato se jise baar baar hame prove Krna pad raha hai .....
Ham thak chuke hai un umeed se jo hame baar baar Tod deti hai .....
Ham haar chuke hai khudase jo aas lagakr baithe hai ..... Ki ab sab thik hoga par dusare pal sab bikhar jata hai .....
Isliye ham ab kisi me padana nhi chahte .....
Aur waise bhi ham aapko koi takleef nhi dena chahte..... Ki aapka ye manana hai na hamari halat aapki wajah se hai .....
To jhoot samaj Rahi hai aap .....
Ye faisala hamara tha.....
Hamari jindagi.... Hamare halat ..... Sab hamara ......aur waise bhi hamne aapko pahle hi in sabse aajad kiya hua hai.....
Hamne kaha tha na aapse ..... Aapka Ghar, aapka room , aapka har pal bas ab aapka hai usme aapko Karishma nahi dikhengi ....
Aaj kuch pal ke liye bhool gaye the .... Kya kare Dil ke hatho majboor ho jate hai .....
Lekin aage se aisa nahi honga .... Ham apne dil ko hampar havi nahi hone denge .....
Ham wahi Ks banenge jise duniya , aap patthar samjati hai .. ..
Bhavana se kori ....
Aapke jazbaat, aapke ehsaas , sabkuch aapka hai ....
Isme ham kahi nhi hai .....shayad kabhibhi nhi the ....
Agar hote to aap kisi tisare ki baat mankar hame dhokebaaz nahi kahati .....
Khair jo bhi hua .... Aapka space hai aapka room .... Ab aapka .....

YOU ARE READING
Yaariyan - Teri meri(KAREENA)
Fanfiction(KAREENA Friendship)Love is not only made for lover's. It is also for Friends who love each other better than Lover's