🎉🎉Be lated Happy New Year 🎉🎉To be continued......
In Ks room ....
Ks folding her clothes and neatly place in cupboard....
But her mind thinking......
Ks POV.....
Aakhir kab tak ham is baat se bhagate rahenge .....
Transfer application letter to de diya .....
Gusse me .....
Par uske baad ka kya ....
Ms bhi na ..... Wo bhi hold par rakh diya hai ....
Baat to ek mahine ki hue thi .....
Par kya Ms .... Hame jaane dengi .....
Nahi bilkul nahi ..... Wo kabhi aise to hame jane nahi dengi ......
Jab baat ham dono me ulaji hue hai ....
Wo aaj isliye yaha aayi hai ham janate hai ....
Wo sab hamare bich thik karana chahati hai ....
Par hamare mann se ye baat nahi ja rahi hai ki unhe hampar yakeen nahi hai ....
Par shayad wo bhi gusse me thi isliye bol gayi ham bhi to kuch bhi bol dete hai hai unhe .....
Wo bhi to hame maaf kar deti hai .....
Kya hame bhi wahi karana chahiye.....
Unse to kah de diya lete hai transfer.....
Par kya ham khud unke bina rah payenge .....
Khud to unse dur rah nahi pate .....
Gusse ki baat krte hai aur unhe Aisa jidd karte dekhe to bas ek pal me sab gussa shant .....
Unpar gussa bhi karana hai aur dur bhi nahi rah sakte .....
Sahi kahate hai Pj ..... Unhe dekhakar ham to pigal hi jate hai ......
Aur ham pigal bhi gaye .....aur unki jidd ko pura kar baithe ....
Kya tha wo ..... Ha..... Ek do ek do .... ks hame huggi do .....
Kya aisa roop dekha hai kisine hamare Ms ka.....
Koi soch bhi sakata hai ki The great SHO sahiba ka ye bhi alag roop hai .....
Urmila ka version to bawal tha par unka ye version..... Itana masum .....itna saaf dil.... Koi ho sakata hai bhala ......
Bas hame gale lagane ke liye itna drama ....
Hame karib na hone par itna gussa .....
Uff ....ufff..... Ufff.....Unki ye jealousy ......
Hame khud par garv ho raha hai .....
Hamari Ms..... Ke mann me hamare liye Itna pyar hai .....
Aakhir kar hamne unke dil me jagah bana hi Li .....
Ks ...... Ks ..... Kya kiya hai tumne ..... Janati bhi ho ......
Ms .... Ms ..... Jaise insaan ke dil me jagah bana li hai tumne ......
Jis insaan se tum itana judi hue ho .....

YOU ARE READING
Yaariyan - Teri meri(KAREENA)
Fiksi Penggemar(KAREENA Friendship)Love is not only made for lover's. It is also for Friends who love each other better than Lover's