Exams went well for all and sports practice is on peak. This year's Inter-state Cricket competition will be with cricket team of Surat...
A day prior to match, Naina reached home and Bela informed that Rakesh and Arjun had come from Surat as Arjun has match tomorrow in Ahmedabad with some college. Naina Preeti look each other with shocked, they understood that this time Arjun is playing against their college team only, that means Sameer vs Arjun
Preeti : Yaar ab kya karen... agar apni team ko support kiya toh Taiji saara ghar sar par utha lengi, par humein to apne college ko hi support karna hoga na... hum kyun Arjun bhaiya ke college ko cheer karnege... yeh kya baat hui... vaise bhi unhein apni behno ki wishes ki kahan jarurat hai...
Naina was sitting in shocked and confused state... totally lost....
Preeti : arey tu sun bhi rahi hai mein kab se bole ja rahi hun...
Naina back in senses : Preeti mujhe bahut chinta ho rahi hai.. ab kya hoga... maine Sameer se wada kiya hai ki mein kal match dekhne aaungi.. par wahaan Arjun bhaiya bhi hoge toh... kahin meri wajah se voh phir haar gaye toh...
Preeti put her hand in his waist : oh maharani.. aap koi devta nahin ho jiske aashirwad se koi team jitegi ya haregi....... jo achchha khelega vo hi jitega... samjhi... tu jyada na Taiji ki baaton ko mat socha kar..... tere wahaan hone ya na hone se koi farq nahin padta...
Preeti teasingly wraps her both hands in her neck : haan par koi aur hai jisse tere hone se bahut farq padta hai... tujhe dekhe bina to usaka din hi shuru nahin hota... hai na...
Naina (shyly) : paagal hai kya... aisi koi baat nahin... tera to dimaag kharaab hai.. ja.. jakar apne match par dhyan de... paagal.....
Phone rings, Preeti look at her and winks : Ja jakar dekh... tera hi hoga..
Naina / Sameer together : Hello...
They laugh, Sameer (teasingly) : Hum hamesha ek saath hi bolte hai.... funny.... vaise tumhein kaise pata mera hi phone hai......
Naina (innocently) : Vaise hi jaise tumhein pata hai ki phone maine hi uthaya hai.... achchha bataao phone kyun kiya...
Sameer : Voh mujhe puchhna tha ki kal tum kitne baje college aaogi... please match shuru hone se pehle aa jana..
Naina (innocently) : voh kyun? kuchh kaam hai kya mujhse... mein tumhari kya madad kar sakti hun ...
Sameer : voh kya hai na... apne lucky charm se mile bina mein ground mein nahin jaana chahta... so its final ki tum jaldi aaogi aur phir voh tum kya laati ho dibbi mein.. something sweet curd types for luck... kal laaogi na mere liye.... maine dekha tha school mein tumne Preeti ko usake match se pehle khilaya tha......
Naina (laughing) : buddhu... usse dahi shakkar kehte hai..... okay le aaungi bas.. chalo ab rest karlo kal varna thak jaoge... Bye
Sameer smiled : Bye.... See you tomorrow..
Naina (to herself) : kya kismat hai... school mein dahi shakkar le ja kar mein Arjun bhaiya ko khilana chahti thi aur isi bahane Sameer ko bhi offer kar deti, par Taiji ke darr ki wajah se nahin jaa paayi, aur Sameer ko bhi nahin diya... aur phir Arjun bhaiya ki haar ka zimmedar mujhe maana gaya, manhoos samajh kar... aur aaj Sameer mujhe apna lucky charm kah raha hai... intzaar kar raha hai ki kal mein usse dahi shakkar khila kar wish karun... agar mein usake liye lucky hun to apane sage bhai ke liye manhoos kaise ho sakti hun..... samjah nahin aa raha ki kal jaaun ki nahin... ek taraf arjun bhaiya jo meri parchhai bhi apne par nahin padne dete aur dusri taraf Sameer, jisse dekh kar mein apne saare dard bhool jaati hun, mujhe dekh kar jiske chehre par ek pyaari si Muskaan aa jati hai, lagta hai usaki Khushi ki wajah hun mein....
आप पढ़ रहे हैं
Kuchh Ankahi Baatein
RomanceAnother story of Sameer and Naina, their relation starts from School with lots of twists and turns except the one you see in Serial. This is my first story, hope you all will like it. Do give your comments for betterment