In night, Sameer called her and they talked about the whole day events happened. She tells him all heart- warming wishes which she gets from all near and dear ones...
Naina said excitedly, "Sameer pata hai Deepika aur Papaji ka bhi phone aaya tha... mein toh hairan hi rah gayi thi... mujhe bilkul ummid nahin thi ki voh mujhe call kar ke wish karenge...."
Sameer, "huh... voh toh vaise bhi tumhari chamchi hai.... uska bas chalta toh apne saath Delhi le jaati, par haan kuchh baat toh hai tum mein jo mujhe bhi hamesha hairan kar deti hai.."
She asked with curiosity, "aisa kya... matlab mein kuchh samjhi nahin".. he smiled and to tease her, "tumhara jaadu, jo ek baar chal jaaye toh zindagi bhar nahin utarta... ab dekho na Deepika, Poonam Bhabhi sab kaise deewane ho gaye hai tumhare aur yahaan tak ki Mr Somani bhi, ek hi din mein tumhein apni beti bana liya... idhar Nanu ko dekho subah meeting mein bhi clients ko tumhari photo dikha rahe the ki tum unki beti ho... mujhe toh lagta hai thode dinon mein yeh log mujhe apna damaad bana lenge..."
She laughed whole-heartedly, "tum na poore paagal ho, kuchh bhi bolte ho.." he flattered listening her melodious laughter, said in heavy tone, "sach Naina, tumhari yeh hasi sunane ke liye, tumhein dekhne ke liye taras gaya hun... ek hi din mein tumhare bina sab adhura adhura sa lag raha hai yahaan.. aur jab se tumhari photo dekhi hai Newspaper mein bohot man ho raha hai ki kaash tumhein milkar congrats kar pata... "
She remembered her Award ceremony date and asked, "Sameer vaise tum kab tak aa rahe ho.." he said, "pakka nahin pata par haan, Nanu shayad 20th tak aa jayenge vaapas legal formailites poori karke, par mujhe rukna padega, mein shayad 25th ya 26th tak aa paaun, kuchh planning hai jo karni padegi clients ke saath.. usake baad voh log teen mahine ke liye abroad ja rahe hai toh sab kuchh pehle hi final karna padega.." her heart sinks thinking he won't be there in ceremony, he asked, "kya hua Naina, itni chup kyun ho gayi tum.. kuchh kehna hai..."
She said slowly holding her tears, "Sameer, aaj sham ko Mr Kashyap ka phone aaya tha, unhone bataya ki Award Ceremony 23rd ko hai yahin Ahmedabad mein.." they both went silent dis-heartened with this news.. he mustered some courage to cheer up her, "toh koi baat nahin Naina, mein vahaan nahin hun toh kya, mera pyaar hamesha tumhare saath rahega... mein Rohan se kahunga ki tumhari khoob saari photos khinche aur video recording bhi karwa lega photographer se, mein aakar dekh lunga... par wada karo ki tum apna man udaas nahin karogi, har photo mein mujhe tumhari vahi muskaan nazar aani chahiye jisne mera dil churaya hai... mujhe koi beimani nahin chahiye samjhi..."
She still not very convinced, "par tumhare bina kaise Sameer.. aaj mein jahaan hun vahaan tak pahunchane ki prerna mujhe tumse hi toh mili hai... agar tum na hote toh mein kabhi likhna hi nahin shuru kar paati... bohot yaad aayegi tumhari.. sab honge par meri najare sirf tumhein hi dhundhengi.." he too holds her emotions and said, "haan toh ek kaam karna, thoda sa sir jhukana aur apne dil mein jhaank lena... aajkal mera permanent theekana vahin hai... tumse dur toh mein ho hi nahin sakta.." he tried his best to console her... they talked for some more time and disconnect the call..
आप पढ़ रहे हैं
Kuchh Ankahi Baatein
RomanceAnother story of Sameer and Naina, their relation starts from School with lots of twists and turns except the one you see in Serial. This is my first story, hope you all will like it. Do give your comments for betterment