RoPree 💘

1.4K 171 28
                                    

In evening, Sameer came to their room asking Rohan, "ab kaisa hai tu, dard kuchh kam hua ki nahin... Nanu ka phone aaya tha ki thoda late aayenge, maine bata diya ki tu aaraam kar raha hai, teri chinta kar rahe the".... he saw Rohan all lost in his own world... he sits next to him and said, "oh toh finally pyaar ho hi gaya hamare rajkumar ko"... 

Rohan nodded in yes still lost in his thoughts... suddenly he realized and said nervously, "kya.. yaar... kya matlab aisa kuchh nahin hai"... 

Sameer smiled and said, "Rohan khush kismat hote hai voh log jinhe pyaar naseeb hota hai, aur badkismat jo apne pyaar ko bina pehchane aise hi jaane dete hai... maana tu topper hai, sabse samajhdaar par agar zindagi mein har waqt calculative hokar dimaag ka istemaal karega na toh zindagi ek Robot ban jayegi.. jo tu toh nahin banana chahta..... correct?... toh jo rishta dil se judta hai usake liye faisle bhi apne dil se le... phir dekh sab saaf saaf nazar aayega"... he patted on his back and leaving from the room, when Rohan suddenly hold his hand and asked, "kya voh bhi mujhse pyaar karti hai.. I mean usse dekho har waqt ek jindadil, khush rehne wali ladki hai, kisi baat se nahin darti par sabki kitni care karti hai... kya voh mujhse pyaar karegi"

Sameer replied, "jab pyaar karne se pehle nahin socha toh izhaar se pehle kyun sochna... pyaar sharto par nahin hota mere bhai.... nibhaana hai toh sachche dil se nibhaao... mujh dekh jo dil mein tha sab bol diya par na koi shart na koi jabardasti... kam se kam zindagi mein afsos toh nahin rahega... tu soch aur khud faisla le ki kya karna hai... aakhir tum donon ki zindagi ka sawaal hai"... he left the room leaving him in his thoughts alone....

In night when Preeti slept, Naina took the cordless and went in balcony and dialed his number...

Sameer / Naina : Hello.. they smiled together ...

Naina : Sameer mujhe tumse jaruri baat karni hai... par pehle batao Rohan kaisa hai, uske paer ka dard kaisa hai..

Sameer : haan voh ab theek hai, doctor ko dikha diya tha, par kal shayad voh college na aa paaye.. thoda dard hai usake paer mein abhi... vaise zid kar raha tha kyunki Preeti ka match hai na kal....

Naina gets sad listening this, "oh.. koi baat nahin" 

Sameer senses some tension asked, "kya hua Naina, kuchh baat hai kya jo tum itani pareshaan ho, mujhe nahin bataaogi"

Naina hesitates but then told him all about Preeti's feelings towards Rohan and her apprehensions too... 

Sameer laughed and replied, "tum donon behen na thodi paagal ho... tumhein dikhta nahin ki Rohan bhi Preeti se kitna pyaar karta hai...... meri saali itani jhalli kaise ho sakti hai ki saara din Rohan ke saath hoti hai phir bhi nahin samajh paayi, bilkul tum par hi gayi hai" (he purposely hid his discussion with Rohan)

Naina gets bit angry, "dekho mein apni behen ke liye pehle hi pareshaan hun aur tum ho ki meri khinchai kar rahe ho... chhodo mujhe tumse baat hi nahin karni"... she was about to cut the call when he said, "nahin ... please please phone mat rakho, meri baat toh sun lo pehle..."

She said, " haan bolo"... Sameer said calmly, "achchha baba sorry... ab suno tum chinta mat karo, mein sab dekh lunga aur haan kal Preeti ka match hai toh tum usaka khyal rakhna... aise pareshaan hogi toh match par concentrate nahin kar payegi"

Naina melts down, "Sameer thanks... mujhe bahut bura lag raha tha aise Preeti ko rote huye dekh kar, sorry ussi frustration mein tumse gusse mein baat ki.... par ab tum sab sambhal loge toh I am so happy and relaxed"

Sameer smiled and said romantically, "aur mere dil ko kaun sambhalega Naina jo sirf tumhare liye dhadakta hai" 

Naina kept quiet but a strange sense of soothing calmness in the air surrounds them ... a lone tear drops from her eyes ...

Kuchh Ankahi Baateinजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें