Vaada

1.1K 180 17
                                    

Sameer keep looking at her for quite some time when she picks up a bite and feed him by her own hand... tears keep flowing down from his eyes... her heart surge pain for him and she hold his hands tightly to calm him.....

Sameer lowered his head and tells "Naina pata nahin tum kya sochogi mere baare mein.... Sach mein meri koi galti nahin hai, please tum mujhe galat mat samajhana"

Naina lift his face from her hand "Sameer dekho meri taraf... mein janti hun tum kabhi galat nahin ho sakte... please mujhe bataao toh kya baat hai... achanak kya hua, kal takt oh tum kitne khush the"

He looked at her and said "Naina mein jab chhota tha tab mere Papa mujhe aur Mummy ko iss duniya mein akela chhod kar chale gaye the, tab Nanu ne humein sambhala... Mummy poori tarah se toot chuki thi, unki haalat dekh kar Nanu ne unki dobara shaadi karwa di aur voh Rohan ke papa ke saath Delhi chali gayi, kuchh saal mein Nanu ke paas hi raha kyunki mummy par naye ghar ki zimmedari thi.. phir Nani bhi humein chhod kar chali gayi aur Mummy mujhe apne saath Delhi le gayi jahaan mein pehli baar Rohan se mila... usse milkar mujhe laga hi nahin ki voh mera soutela bhai hai... pehle din se hi hum donon mein ek atoot sa pyaar ho gaya tha... par Rohan ki dadi ko yeh sab nahin achchha laga aur unhone zid karke mujhe hostel mein bhijwa diya, taaki mein usase dur rahun... usake kuchh saalon baad Deepika paida hui... jab bhi mein Delhi jaata tha, mujhe hamesha Rohan aur Deepika ke saath khelna, unake saath rehna achchha lagta tha .. lagta tha jaise mujhe apna poora pariwar mil gaya ho... par Dadi ko yeh sab nahin pasand tha... pata nahin kyun par voh mujhse hamesha se hi nafrat karti thi aur hamesha mujhe aur Rohan ko compare karti rehti thi... mujhe laga ki agar mein bhi achchhe marks laaunga aur achchha bartaav karunga toh mujhe bhi Rohan ki tarah ghar mein rehne ko milega .. isi baat se maine khoob dil laga kar padai karna shuru kiya, meri kabhi koi complaint nahin aati thi, maine sports, music har field mein awards jeete par koi faayda nahin hua... dheere dheere main saari ummiden khone laga... maine apne aapko ek daayre mein samet liya... agar Delhi jaata bhi tha toh kisi se koi baat nahin karta tha, akele guest room mein hi rehta tha, akele khaana khaata tha, par Rohan... usane mujhe kabhi akela nahin chhoda, voh zid karke mere liye bhi vahi khilone mangwata tha jo usake paas hote the.. mere saath khelne ki, baat karne ki puri koshish karta tha, apni Dadi se chhup chhup kar.. par meri wajah se usse bhi daant pad jaati thi isiliye mein usase bhi dur rehne laga... par shaayad voh sab samjhane laga tha aur isiliye ek din usane Nanu ko sab bata diya... Nanu ko dukh na ho isliye maine unhe kabhi yeh sab nahin bola, na kabhi apana dard bataya.. voh vaise bhi mere liye bahut kuchh karte the, mein unhein aur pareshaan nahin karna chahta tha... unake uppar saare business ki jimmedari bhi thi aur Nani ke baad voh bahut akele ho gaye the...

Sameer paused to breathe and looked at their entwined fingers and then continued, "Rohan ke sab bataane ki wajah se Nanu mujhe yahaan Ahmadabad le aaye, apne paas aur mein yahaan Munna Pandit aur tumse mila.... Dosti ko samjha, jaana, mein pehli baar khush tha... par kismat ko kuchh aur hi manjoor tha aur phir Nanu ke heart attack ki wajah se mujhe dobara se Delhi jaana pada... Nanu toh theek hone ke baad yahaan aa gaye par mujhe school ki wajah se ek saal phir vahin rehna pada, ussi ghar mein... par Dadi ko yeh gawara nahin tha... jaise bachpan se unhone mujhe Rohan Deepika se dur rakha iss baar bhi unhone poori koshish ki par iss baar Rohan ne unki nahin suni... usane mujhe kabhi akela nahin chhoda.... pata hai mein usse kuchh mahine bada hun par uss ghar mein usne ek bade bhai ki tarah mera poora khyal rakha, mujhe sambhaala.. usake bharose hi mein vahaan rah paaya itane lambe arse varna Dadi ki baaton se toh mera jeena vahaan ek pal ke liye bhi mushkil tha.... Phir session khatam hote hi mein yahaan vaapas aa gaya, Nanu ke paas... par Rohan mujhe bahut miss kar raha tha aur usey ghar ke badon ka mere prati galat vyavahar bhi nahin pasand tha.. issi gusse mein voh bhi yahaan aa gaya bina mujhe bataaye... sabse lad kar... voh khush hai yahaan, mein khush hun apne bhai ko apne paas dekh kar.. pehli baar hum donon ek dusre ke saath khul kar jee pa rahe hai... ab tum batao ismein meri kya galti hai... kya mujhe jeene ka, khush hone ka haq nahin hai....

Naina at that moment wanted to hug him and take all his pain away. She wanted to soothe him. She understood that he is a broken soul that needs love and care...

Naina said softly : Sameer, tumne kuchh galat nahin kiya... Rohan tumhara bhaai hai, apne bhai ke saath rehne mein galat kya... par tum iss baat se dukhi kyun ho....

Sameer took a deep breath "aaj subah Rohan ki Dadi ka phone aaya tha, unhone mujhe bahut bura bhala kaha... unko lagta hai ki maine Rohan ko bahkaya hai unke khilaaf, mein uska bhavishya barbaad kar raha hun... mera manhoss saaya usse barbaad kar dega" Saying this he starts crying badly covering his face from his palms... "Sach Naina maine kabhi Rohan ko nahin kaha ki voh apne ghar aur Dadi se dur rahe.. voh toh unki baaton se, unki soch se naraaj hai bas aur kuchh nahin"

Naina took out his hand from his face and wipe out his tears, she was also feeling her eyes wet listening all his pain, "tum bilkul galat nahin ho... yeh toh unki galat soch hai Sameer jo voh apne hi ghar ke donon bachchon mein farq karti hai... aur Rohan usake baare mein socho... agar tum aise dukhi hoge toh kya voh khush rah payega... tumhi kehte ho na ki usane hamesha tumhara saath diya hai toh ab baari tumhari hai ... voh tumhare liye sab kuchh chhod kar aaya hai, apna ghar, apne parents, dadi sab kuchh... toh tumhein usse sambhalna bhi hai aur khush bhi rakhna hai... uski zimmedari hai ab tumpar, tum aise toot nahin sakte samjhe... jaise usane Delhi mein tumhein sambhala ab tumahara farz hai ki bade bhai ki tarah tum usey sambhalo..... aur phir agar tum aise karoge toh Nanu ka kya hoga... voh kitne dukhi honge tumhari aankhon mein aansun dekh kar, kabhi socha hai... kitna pyaar karte hai voh tum donon se... jabse tum donon yahaan unke paas aaye ho, unhein apna parivaar poora lagne laga hai... kisi galat insaan ki soch ki wajah se tum Nanu aur Rohan ka dil kaise dukha sakte ho"

Sameer looked at her amazingly that how easily she soothes all his pains, worries, his guilt... jaise ek hi pal mein saara dard, saare dukh dur ho gaye ho...

Sameer look at her cutely like a kid "Naina sach mein maine kuchh galat nahin kiya na... tumhein vishwas hai na mujhpar"

Naina squeezed his hand to comfort him and smiled, "sachchi tumne kuchh galat nahin kiya, tumhein pata hai na mein kabhi jhuth nahin bolti... aur tumse toh bilkul nahin"

Finally he feels light hearted "Naina please yeh sab Nanu ko mat batana... pata nahin kaise par aaj tak maine yeh baat kisi se nahin ki, Nanu aur Rohan se bhi nahin... par tumhare saamne yeh sab... iss tarah... pata nahin aaj kaise maine yeh sab kah diya jo kisi se nahin kaha... par thanks mujhe sunne ke liye, samjhane ke liye...

Naina smiled : Sameer jab bhi mein pareshaan hui ho, ya kamjor padi hun tumne mujhe sambhala hai.. is ek saal mein tumne mujhe voh himmat di hai jo mein kab ki haar chuki thi... toh kya mein tumse tumhare dard nahin baant sakti... itna bhi haq nahin hai mujhe...

Sameer smiled "tumhein toh poora haq hai... ab tumse nahin kahunga toh kisse kahunga... aakhir tum meri sabse achchhi dost jo ho (in his mind : aur meri zindagi bhi)

Naina : toh wada karo ki aaj ke baad jab bhi tum pareshaan hoge ya koi baat karni hogi toh tum hichkichaoge nahin... seedha mere paas aa jaana... mein hamesha tumhare saath hun... har Khushi mein har gham mein...

Sameer put his hand on her and hold it firmly "Vaada... pakka vaada" to lighten their mood " achchha chalo ab baaton se pet bharogi kya, subah se kuchh nahin khaaya maine.... bahut bhukh lagi hai"

Naina forward the tiffin box to him with a contented smile on her face... feeling relieved to see him back in his funny mood and cute smile...

After breakfast Sameer left for factory after dropping her at Swati's house where Preeti was waiting for her....

Kuchh Ankahi Baateinजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें