Agarwal house was full of hustle bustle as being the big day for Pooja... all were busy in getting prepared for evening
Bela : Pooja, tune apni parlour wali ko bol diya na ki achchee se tera make-up kare..
Pooja : haan Mummy, uska to yeh roj ka kaam hai...
Naina : arey Chachiji, aap chinta mar karo, mein aur Preeti honge na wahaan, agar kuchh gadbad hui to dekh lenge... vaise bhi Pooja didi itani sundar hai ki unhein jyada makeup ki jarurat hi nahin hogi...
Taiji : O Bai, tum kahan chali parlour... bas saara din matakane ko kah do... ek kaam nahin hota tujhse aur make up karwana hai... kuchh bhi karlo shakal to vaise hi rahegi....
Chachiji in firm tone : Bhabhiji, maine hi Naina, Preeti ko kaha hai parlour se taiyar hone ke liye.. unki behen ki shaadi hai, voh jaroor jayengi...
Phulla Bua : Bela tune theek kiya... ab iss umra mein yeh nahin sajengi to kya hum log sajenge... aur Bina tu... teri shakal ka to Parlour wali bhi kuchh nahin kar sakti to tu toh rahne hi de... ab ja kuchh kaam karle moti hoti ja rahi hai din ba din...
Bela and girls giggled hearing all this and Taiji left fuming in anger...
Maheshwari House – Sameer was very restless and sad not being met her from last few days and missing her badly..
Sameer (in his mind) : Yaar ek to pehle Diwali ki chhutti mushkil se khatam hui aur ab yeh shaadi... vaise bhi Shaadi toh sham ko hoti hai phir subah School to aana chahiye tha na... itane din ki padai kaun chhodta hai... vaise toh badi topper hai madam.. sabka dhyan hai bas mera hi nahin hai...
Munna seeing him lost : Yaar Sameer, tujhe hua kya hai... itane dinon se khoya khoya sa hai... na kuchh bolta hai, na baat kar raha hai...
Pandit : Mujhe lagta hai isake upar kisine jaadu tona to nahin kar diya... chal isse bargad wale baba ke paas lekar chalte hai....
Sameer (irritated) : mujhe samajh nahin aata ki itani vaahiyat baate tere dimaag mein aati kahan se hai... (in low tone) : ek to itane dinon se usse dekha nahin aur upar se yeh donon... hey bhagwan kuchh to karo mera...
Nanu entered in room : arey kyun itna shor macha rakha hai...... achchha rahu ketu bhi yahin hai... tabhi kahun baahar tak awaaje kiski aa rahi hai..
Sameer : arey nahin Nanu, hum to bas aise hi masti kar rahe the.. aap bataiye aapka din kaisa raha aaj ka..
Nanu : hmmm voh toh theek hi tha.. par abhi mujhe ek jaruri madad chahiye... abhi munshiji ek client ke saath aane wale hai... ek contract sign karna hai... kya tu bazaar se jaakar iski ek copy banwa layega...
Sameer : kyun nahin, hum abhi iski xerox karwa kar laate hai..... (in his mind: chalo isi bahane thoda mood bhi change ho jayega)...
Nanu : Haan jaldi se aana aur meri car le jaao... Munna and Sameer left for market to get the xerox of documents and Pandit left for his house as have some other work at home...
In evening, girls get ready at Parlor, Swati too joined them...
All gets ready in beautiful attire, Pooja dressed up in red bridal lehenga with all heavy jewelry, Swati in yellow lehenga, Preeti in green lehenga and Naina dressed up in Pink lehenga with silver boarder...
Arjun came to pick up the girls with one of his friend in car from Parlor after they gets ready.... Seeing Naina there he gets annoyed...
Naina Preeti helps Pooja to sit in back seat as her lehenga was very heavy, Preeti sits beside her.....
Arjun starts the car before Naina, and Swati sits inside...
Preeti : arey bhaiya, Naina aur Swati toh baithe hi nahin...
आप पढ़ रहे हैं
Kuchh Ankahi Baatein
RomanceAnother story of Sameer and Naina, their relation starts from School with lots of twists and turns except the one you see in Serial. This is my first story, hope you all will like it. Do give your comments for betterment