Next morning Naina woke up, looks fresh and more relaxed.. she saw Preeti sleeping next to her.
After completing her morning chores, she woke up her sleeping soul, "Preeti... uth ja na yaar... kitna soyegi tu..." she pulled duvet on her face to cover and turned to other side, "yaar raat ko majnu sone nahin deta aur subah uski laila pareshaan karti hai... aakhir kahaan jaau mein nanhi si jaan sone ke liye..."
Naina jerked her removing duvet from her face, "kya matlab... Sameer ka phone aaya tha kya, tune mujhe uthaaya kyun nahin, pata hai kal se baat nahin hui theek se... kitna pareshaan ho raha hoga bechara.." Preeti sits up stretching her hands and said, "behen, tera hero pareshaan hota nahin hai, saari duniya ko pareshaan karta hai... aaya tha kal aadhi raat ko ... sirf tujhe dekhne ke liye... hum sab ki neend uda kar aadhi raat ko tera didaar karne.. aur pyaar dekho uska tujhe neend se nahin uthaaya aur hum sab ko sone nahin diya... sachchi tum donon na ajoobe hi ho..."
Naina surprisingly asked, "voh sach mein aaya tha kya"... Preeti laughed and give her the packet which Sameer left for her, "le dekh le.. tere liye chhod kar gaya hai tera Romeo"... she left for washroom leaving her smiling widely... she opens the envelop and found a letter, a red rose and a chocolate ... she opened the letter,
Good morning Jaan,
Sorry, itni raat ko tumhare kamre mein aane ke liye... par kya karun tumhein dekhe bina raha hi nahin gaya... aaya tha soch kar ki tumse khoob saari baatein karunga par tumhein sote huye dekh kar man hi nahin kiya uthaane ka... ek baat puchhu, sapne mein mujhe hi dekh rahi thi na.... sach kahun bohot pyaari lag rahi thi aise muskurati huyi.... bas wada karo ki yeh muskurahat apne hothon se kabhi hatne nahin dogi...
aur haan, apna khayal rakhna, mein vahaan nahin hun par mera dil vahin hai tumhare paas.... apne liye na sahi par mere liye meri jaan ka achchhe se khyaal rakhna... love you... tumhare liye bilkul tumhari tarah khubsurat sa gulaab aur meethi si chocolate ...
jaldi milenge... take care..
Only Yours... 💕
She smiled and kissed the letter and keep it back in almirah.... Then only Bela came inside to check on her, "arey tu uth gayi itni jaldi, beta aaraam karti na... chal mein tere liye nashta lekar aati hun"... Naina hold her hand and make her sit, "Sorry Chachiji, meri wajah se aap sab kitna pareshaan huye.. par sach mujhe nahin pata tha ki yeh sab itna kharaab ho jayega... Promise, aage se aisa kabhi nahin karungi..." she caressed on her head, "beta ab sab bhool ja bura sapna samajh kar aur khush rah" she smiled and said, "vaise mujhe bataya tere Chachaji ne Sameer aur tere baare mein... mujhe naaz hai teri pasand par.. bohot pyara ladka hai... hamesha khush rehna ek saath" she kissed on her forehead and blessed her...
she teased her, "par ek shikayat hai tujhse... apne Chachaji se sab bata diya tha toh mujhse kyun chhupaya... log kehte hai betiyaan toh maa ke dil ka tukda hoti hai, aur yahaan toh ulta hi hai..." Naina hugged her tightly and mouthed "Sorry.. please maaf kar dijiye na.." Bela hit slightly on her arm and said, "ab kuchh chhupaya na toh dekhna.." Preeti too joined them and they had nice family time having breakfast together fully.....
आप पढ़ रहे हैं
Kuchh Ankahi Baatein
RomanceAnother story of Sameer and Naina, their relation starts from School with lots of twists and turns except the one you see in Serial. This is my first story, hope you all will like it. Do give your comments for betterment