Guests

1.3K 174 32
                                    

Next day Sameer and Rohan were sleeping till 9 am after coming back late last night, meeting their soul partners. Their sleep disturbed when a chirpy, naughty girl came running to their room and jump on them to wake then... "bhaiyaaaaaaaaaaaaaa"

Sameer & Rohan opened their eyes and saw Deepika was standing in middle of the bed jerking them both... "surprise.... utho na... dekho kaun kaun aaya hai"... they both hold her tightly and had a group hug kissing her on both her cheeks by her lovely brothers..

Sameer said excitedly, "wow.. yeh toh bahut achchha surprise hai... tum kab aayi, aur kiske saath aayi ho"... Deepika replied all excited, "mein Mummy, Papa ke saath aayi hun... Daadi baad mein aayengi... aap donon chalo na baahar.. sab aapka wait kar rahe hai..." They both get up and went outside and greet their parents formally...

After very formal discussions on their where abouts they came back to their room and gets ready for factory...

Nanu asked Vivek, "beta achaanak kaise aana huaa... bata dete toh gaadi bhej deta airport lene"...

Vivek, "bas Papa Deepika donon bhaiyon ko bahut yaaad kar rahi thi aur humein bhi unse mile kaafi waqt ho gaya tha toh socha sabko surprise de dete hai... bas iss baar Diwali yahin manane ka faisla kiya hai, vaise bhi bachchon ke bina tyohar bada suna suna lagta hai... do teen din mein Maa bhi aa rahi hai par voh sirf do din hi rukegi.. Diwali ke liye voh Mumbai ja rahi hai, apani behen ke paas"

Vishakha, "aur haan Papa, meri Kamlesh bhai sahab se bhi baat hui thi, voh bhi dopahar tak aa rahe hai Baroda se... hum ne socha iss baar Diwali sab ek saath yahin manayenge... aur unki bahu Poonam ki god bharai bhi isi hafte hai toh yahin sabke saath hi kar lenge"

Nanu, "arey wah, yeh toh achchhi baat hai... ghar mein raunak lag jayegi... Poonam ki god bharai ke saath hi Diwali party bhi ho jaayegi .... Vishakha tum khud saari taiyari dhyaan se kar lena aur jisko bhi bulana hai bula lena.. Prabha ke saath milkar.. koi kami nahin honi chahiye... aakhir mein par dada banane wala hun"..

(Kamlesh is Nanu's nephew who is handling his Baroda factory with his son Devang... His wife is Prabha, very rude, cunning harsh & strict lady but her daughter-in-law Poonam is very sweet and innocent – same as in serial)

Sameer, Rohan joined them at breakfast table, enjoying & teasing of non-stop chatter box Deepika. Nanu, "are tum donon bhi apne saare doston ko bula lena... do din baad Poonam ki god bharai aur Diwali party hai ghar mein... khoob maja aayega"... Rohan looked at Sameer with some doubts, Sameer blinked his eyes and assured that they will talk later... after breakfast, both left with Nanu for factory assuring to come back soon to Deepika....

At factory, Nanu called them both, "mein tum donon se kuchh baat karna chahta tha, socha ghar par sahi nahin rahega isiliye yahaan bulaya hai"

Rohan, "kahiye na Nanu, aisi kya baat hai jo aapn itne pareshaan lag rahe hai.. factory ka kuchh jaruri kaam hai toh bataiye hum donon jaldi khatam kar denge"...

Nanu smiled, "nahin factory ka nahin, mein soch raha tha ki tum donon parso function mein Naina aur Preeti ko bhi bula lo... ek baar voh donon bhi Vishakha aur Vivek se mil lengi toh achchha rahega... ab waqt aa gaya hai ki unhein bhi pata hona chahiye tumhari pasand ke baare mein... tumhein kya lagta hai"..

Sameer replied, "Nanu agar aap ko lagta hai toh theek hai... mujhe koi problem nahin... vaise bhi chhupane se kya fayda, aaj nahin toh kal pata chal hi jayega aur yeh Naina Preeti ke liye bhi theek rahega, kyun Rohan"...

Rohan was quiet lost in deep thinking, "Nanu mujhe nahin lagta hamare badon mein itni samajh hai aur unhein hamari khushiyon ki koi parwaah bhi hai... par agar aapko theek lagta hai toh mujhe koi pareshaani nahin, par aap unhein bol dijiyega ki hum sirf unhein milwa rahe hai, faisla ho chuka hai jise ab koi bhi badal nahin sakta... mainly Dadi aur Papa, mujhe pata hai voh toh pakka Preeti mein kamiyaan hi nikalengi kyunki unki expectation toh hi-fi society ladki hi hogi mere liye"...

Kuchh Ankahi Baateinजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें