Nanu sent driver at Airport to pick up Vishakha, Vivek and Deepika ... they reached Maheshwari mansion and all greet each other...
Deepika hug her brothers excitedly, "bhaiya iss baar mein bohot dinon tak aapke hi saath rahungi... mummy ne kaha hai ki khoob masti karenge hum yahaan.." she sits on Sameer's lap and hugged him tightly, whispers in his ears, "mujhe Naina Bhabhi se bhi toh milna hai... unke saath bohot saare games bhi khelne hai iss baar.. voh kab aayengi"
Sameer smiled and kiss on her cheeks, "jaldi aayengi... tab jitna man ho unake saath khel lena.... okay" he felt sad seeing her mother's frowned face when Vishakha said loudly, "Deepika tum andar jaakar khelo... " Deepika nodded and left to her room...
Nanu, "Vishakha, tum log pehle thoda aaraam kar lo, thak gaye hoge... phir baith kar aaraam se baat karenge.."
Vishakha turned angrily to him, "Papa maine aapse kaha na ki koi baat nahin hogi... faisla ho chuka hai aur ab nahin badlega"... she walked to Sameer and sits with him holding his hand, "dekh beta, mein jo bhi kah rahi hun teri bhalaai ke liye hi hai... tu samajh, mein teri dushman nahin hun, aise jazbaati hokar zindagi ke faisle nahin liye jaate... tu samajh raha hai na"...
He pulled out his hand and turned to her, "Mummy mujhe pata hai ki aap ne aaj tak mere baare mein saare faisle practical ho kar hi liye hai, par mujhe laga shayad pehli baar aap apne bete ke dil ko samjhengi, usake jazbaaton ko samjhengi, par aapne aaj bhi mujhe galat hi saabit kar diya... kyun har baar aap sirf apne baare mein, apni expectations ke baare mein hi sochte ho, kyun aao kabhi yeh nahin sochte ki mujhe kis baat se Khushi milegi.. aap har baar meri saari ummiden tod dete ho..."
Rohan stood angrily and said, "Sameer chhod de, inhein samjhane se kuchh nahin hoga..." he turned to Vishakha, "dekhiye Nanu ne aap logon ko bulaya hai yeh batane ke liye ki hamari sagaai ho rahi hai na ki yeh puchhne ke liye ki sagaai kare ya na kare.... aap chahe ya na chahe yeh sagaai toh hogi hi aur shaadi bhi... humein hamari pasand par naaz hai, aur jinhein nahin samajh aata voh unki apni problem hai..."
Vishakha shout on him, "yeh kya tameej hai Rohan badon se baat karne ki... yeh toh nahin sikhaya tha hum ne tumhein... yeh sab lagta hai middle class sangati ka hi asar hai"...
Sameer said sternly, "Mummy aapko jo bolna hai humein boliye par Naina Preeti ke baare mein ek shabd bhi nahin.. aap unhein jaanti hi kitna hai jo unke baare mein galat rai bana rahi ho... mein phir aapse request karunga ki ek baar aap unse milo toh sahi... dekhna aap bhi unse pyaar karne lagogi"... she turned her face, "mujhe nahin milna kisi se bhi.. aur agar itna hi hai toh theek hai, mein Preeti se milne ko taiyar hun, par kya voh iss rishte ke liye maanegi jab usey pata chalge ki uski behen ka rishta Sameer se nahin ho raha"...
Rohan loose his control, "aur aap kaun hoti hai yeh faisla karne wali ki Naina aur Sameer ka rishta nahin hoga... meri Bhabhi agar koi banegi toh Naina hi hogi"...
Vishakha took a deep breath and turned to Sameer, "dekh Sameer, agar tujhe shaadi karni hai toh theek hai na, maine ek bohot achchhi ladki pasand ki hai tere liye... tu milega toh ek hi baar mein Naina ka bhoot utar jayega tere sar se... iss pyar vyar mein kuchh nahin rakha... samajh meri baat ko.."
आप पढ़ रहे हैं
Kuchh Ankahi Baatein
RomanceAnother story of Sameer and Naina, their relation starts from School with lots of twists and turns except the one you see in Serial. This is my first story, hope you all will like it. Do give your comments for betterment