" ap jo kahe gi wo mai karne ke liye tyaar ho magar yeh nahi plz "
Usne rote hoe kaha tha magar unpe koi asar nahi hoa tha..
" tu yeh karna wapis is ghar ka rasta na karna chay kuch bhi ho Jay idhar wapis na ana "
" beti ho mai apki "
Wo is waqt kisi bache ki tarha ro rahi thi.. usse abuse lag raha tha jaise koi usse janse mar raha hai.. jaise kisi ne uska gala bobaya hoa hai..
" nahi nilam ki beti ho tum "
" magar ismai meri kia galti Maine thori kaha tha unhe baba se shadi kare ya mujhe is dunia mai lay phir mujhse kiyu itni nafrat "
Tot gai thi wo unhe gale laga kar rona chahti thi magar kis haq se lagti wo tu usse gake tu kia uski taraf dekhna bhi gayara nahi karti thi..
" mujhe nahi lagta yeh waqt in sab bato ka hai "
Wo yeh topic khatam karna chahti thi.. janti jo thi unke pas uski kisi baat ka jawab nahi..
" aj dene phir mai idhar wapis nahi ao gi wada raha "
" na ana mai phir bhi dena zaroori nahi samjhti "
Yeh kehti wo waha se gai thi..
Or wo wahi baithi apni kismat pe ansu baha rahi thi.. kia such mai wo yeh sab deserve karti thi.. apne baap ki berokhi apni maa ki nafrat.. kia such mai uske liye khushiya thi hi nahi.. khushiya hogi zaroor hogi magar shayd abhi uska sahi waqt nahi tha..
" tum tyaar nahi hoi "
Maria ne wapis a kar usse poucha tha joke ab bhi waise hi zameen pe baithi thi apne pehle wale suit nahi..
" nahi mai in mai hi yaha se jao gi "
Apni jaga se khari hote hoe usne kaha tha..
" fazool ki baat na karo or tyaar ho "
Unho ne gusse se kaha tha..
" yeh jora mujh jaisi ke liye nahi hai or waise bhi jo pehna hai Maine wo mera hai mere paiso ka hai mai in mai hi jao gi "
Yeh kehti usne apne ansu saaf kiye the.. maria ke pas kuch bacha nahi tha bolne ke liye..
Seating room mai wo usse le gai thi.. zaigham ke sath ja kar usse baitha dia gaya tha.. hashim sahab ne molvi sahab ko le ay the or kuch hi dair mai nikah shoro ho gaya tha..
" zubia hashim walde hashim Ahmed kia apko zaigham farooq walde farooq ehsaan se nikah qabool hai "
Molvi sahab ne poucha tha..
( وَخَلَقْنَٰكُمْ أَزْوَٰجًا )
Molvi sahab ke pouch ne pe zubia ke dimag yeh Quran ki ayat ai thi.. jisne usse himmat di thi is nikah ko qabool karne ki..
" qabool hai "
Or do dafa molvi sahab ne usse poucha tha jiska jawab usne qabool hai se dia tha.. is waqt uske dimag mai maria se hoi baat ghom rahi thi..
" ab chale "
Wo apni soucho se tab bahar ai jab usse kisi ki gusse se bhari awaz ai.. himmat nahi ki usne usse dekhne ki janti thi yeh wohi hai jisse abhi usne qabool kia hai..
" beta abhi kuch dair ruk jao.. "
Hashim sahab ne kaha tha.. joke usse nagawar thi..
" nahi chalna chaiye "
Yeh keh kar wo waha se bahar ki taraf bhar gaya tha..
Mrs farooq ne ek nazar unhe dekha phir zubab ko jo pehle se hi unhe embarrassment mai dekh rahi thi or phir zubia ko..
" chalo "
Zubab ne zubia ko uske hath se pakarte hoe mudham si muskurahat ke sath kaha tha..
Hashim sahab ne uske sar pe hath rakhne ke liye apna hath uthaya tha magar wo bina usher muka die waha se bahar gai thi..
Hashim sahab or farooq sahab dono office ke liye nikal gay the deal peppers sign karne ke liye..
***************
Maham dosri gari mai driver ke sath chali gai thi.. wahi dosri taraf zubia zaigham zubab or farhan ek gari mai thi..
Gari mai khamoshi chai hoi thi na kisi ne kuch kaha na kisi ne kuch suna.. awaz bas gari ke chalne ki thi or kisi ke phone bajne ki..
" zubia call arahi thi.. "
Zubab ne usse apni soucho mai ghom dekh kar usse bataya tha..
Zubab ke bolane pe wo apni soucho se bahar ai thi.. usne ek nazar usse dekh kar apne ps pare phone ko attend kia tha..
" theek ap adhe ghante tak usse ek bar phir IV drip dedena or monitor karte rahe "
Dosri taraf se kuch pouchne pe zubia ne jawab dia tha.. awaz sunke koi bhi bata sakta tha wo theek nahi hai..
" CT scan ki report raat tak ajay gi tu usse dr mahnoor ko deni hai "
Yeh keh kar usne phone band kia tha..
Ab wapis wohi khamoshi cha gai thi.. jo in dono ko kar khane ko chor rahi thi.. safar zada lamba nahi tha magar aj najane kiyu khatam hota lag nahi raha tha dono ko..
Kuch hi dair mai wo log apni manzil pe pouch gay the.. ghar bahar se dekhne mai itna koi bhara nahi tha tu yaqeenan andhar se bhi itna bhara nahi hoga..
Andhar jqte hi zaigham apne kamre mai gaya tha wohi zubab ne zubia ko Seating room mai bhitaya tha..
" mai zubab ho zaigham ki bari behen "
Zubia ke pas baith kar uspe khush dili se kaha tha..
" zaigham ki behaviour ke liye am so sry yeh sab bohot achanak tha uske liye and am sure tumhare liye bhi.. waqt ke sath wo theek ho Jay ga dekhna "
Zubab ne apne bhai ki taraf se mafi mangi thi.. jiske jawab mai usne halka sa sar hilaya tha..
" waise tum doctor kis cheez ki ho "
Kuch dair bad zubab ne poucha tha.. beshak wo zubia ko comfortable feel karwana chahti thi..
" cross traineddoctor... "
Jawab mukhtasir tha..
******************
" zaigham yeh kia harkat hai chalo niche "
Zaigham ke piche ate hoe farhan ne kaha tha..
" bhai plz.. "
" zaigham biwi hai wo tumhari ab aise behave karna galat hai.. "
Farhan ne uski baat kati thi..
" maine mana kia tha kaha tha Maine mai tyaar nahi ab isse zada mai kuch kar nahi sakta.. "
adaisha__
Ankyxbtsarmy
avneil_adiza_fanclub
Kashaf_tales
p140885
magical_AditiRathore
ritul_d
tanzila_tuly03
Sana__tales
soraen
YOU ARE READING
viraan
FanfictionASSALAMULAIKUM... HOW ARE YOU ALL.. HOPE YOU ALL ARE DOING WELL.. SO HERE I AM BACK WITH ANOTHER ROLERCOSTER " VIRAAN " It's a story of Zaigham and Zubia.. Be part of their rolercoster... What will happen when two right people meet at the wrong time...