" mai such mai bohot sharminda ho zubia jo bhi ho zaigham ko wo nahi karna chahiye tha.. "
Zaigham ke waha se jate hi zubab ne usse mafi mangi thi..
" appi plz maafi na mange zaigham ne mujhe ghar se nahi nikala tha.. "
Zubab uljhi thi.. zaigham ne kaha tha usne nikala tha or yeh keh rahi hai nahi nikala tha dono ke bayan mukhtalif kiyu the.. agar yeh uske kiye pe parda dalne ne Koshish kar rahi hai tu na kare..
" agar wo nikalna nahi tha tu phir kia tha.. "
Zubab ne janna chaha tha agar uske liye wo nikalna nahi tha tu phir kia tha..
" unho ne mujhe Jane ka bas kaha tha.. "
Zubia ne mudham awaz mai mushkil ke sath kaha tha..
" agar wo nikalna nahi hai tu nikalna kia hai "
" nikala mujhe mere ghar walo ne tha yun ruksat kar ke.. "
Kuch a su gire the uski ankho se jinse usne saaf kia tha..
" zaigham be jo kia wo kia mai konsa rok gai thi.. hunza mai thi sab se door bhool gai thi ke idhar koi mere liye pareshan ho ga.. apni akar apni ana mai thi ke wapis nahi Jana agar na jati mai us waqt hunza tu aj waqt kuch or hota.. galti na zaigham ki thi na meri bas waqt sahi nahi tha wo jab hum mile.. "
Zubia ki baat sun kar zubab ke pas kuch bacha nahi tha bolne ke liye..
Sham ke 5 baj rahe the jab farooq sahab ghar wapis ay the office.. udhar zubia ko dekh kar unho ne shukar ada kia tha.. shukar kia tha ke wo sahi salamat wapis ai hai jo guilt tha wo kuch kam hoa tha..
Kuch hi dair mai zaigham zubia ki bahar le kar gaya tha..
" baitho "
Gari ka darwaza kholte hoe bola tha..
Kia yeh abhi usse wapis chor ne ja raha tha?..
Yeh ke sawal zubia ke zehen mai aya tha.. najane kiyu magar is khayal ne zubia ko daraya tha..
" yeh hum kaha ja rahe hai.. maine mana kia tha mai waha nahi jao gi "
Raste ko dekhte hoe usne bola tha magar sath baithe insan pe uska thora sa bhi asar nahi hoa tha..
" zubia "
Gari ko hashim house ke samne park karke usne zubia ki side ka door khola tha jisse zubia ne bilkul ignore kia tha..
" Maine pehle hi kaha tha mai yaha nahi ao gi "
Kehti usne apna rokh Mora tha.. lamba sans le kar usne zubia ko hath pakar kar gari se utara tha.. usne ihtijaj karne ki Koshish thi joke namak hoi thi..
Beshak dono ek se bhar kar ziddi the..
" zaigham plzz "
Main door ke samne khare the zubia ne ek akhri dafa try kia tha..
" zubia fazool ki mehnat na kare faida nahi hai bas apki energy waste hogi "
Zaigham ne keh kar door bell Baja di thi.. usse samjh nahi arahi thi zubia ki is zid ki kiyu wo mana kar rahi hai agar sirf nikah wo waja hai tu bhi usse apni family se yun cut off nahi hona chahiye.. usse kia pata tha nikah se bhar kar bhi kai wajoohat hai jo waqt ke sath usse pata chale gi..
Kuch hi pal bad kisi ne darwaza khola tha.. joke shady mulazima thi us ghar ki.. zubia ko dekh kar wo heran hoi thi jaise kisi bhoot ko dekh liya ho..
" kon hai "
Andhar se kisi aurat ki awaz ai thi.. shayd wo zubia ki ammi thi..
" zubia "
Mulazima ne andhar ane ki jaga di thi zubia ke kadam larkharane the andhar jate hoe tab zaigham ne uska hath pakar kar usse andhar le kar gaya tha.. living area mai baithe sab taqreeban heran hoe the.. apni jaga se uth te hoe maria ne herangi mai kaha tha..
" kaha thi tum "
Yeh keh kar maria ne aj zindagi mai pehli bar zubia ko gale lagaya tha beshak wo dil se khush hoi thi usse wapis dekh kar.. zaigham ki nazar samne khare logo pe gai thi.. jin mai unke baba, zohra, zayan or uski dadi thi..
" kuch pouch rahi hai maria jawab do "
Hashim sahab ne sakht lehje mai poucha tha..
" baba wo abhi ai hai usse atleast baithne tu de "
Zayan ne bola tha or zubia ko side hug kia tha..
" sahi tu pouch raha hai kaha thi yeh "
Shayd uski dadi ko zubia ka wapis Yun ana pasand nahi aya tha.. is liye unki awaz mai itni nafrat thi..
" mujhe lagta hai tumhe abhi chalna chahiye ghar ja kar aram karo or bohot bohot shukariya zubia ko wapis lane ke liye "
Hashim sahab ne zaigham ko kaha tha.. wo heran hoa tha zubia se itne gusse se baat or jis insan ne usse ghar se beghar kia usse itne pyaar se baat kiyu..
" jii "
Yeh kehta wo Jane ke liye mura hi tha jab zubia ne uska hath pakra..
" intezar karna "
Zubia ke kehne pe usne halka sa sar hilaya tha or waha se gaya tha..
Uske waha se jate hi uski dadi ne usse ek zor dar thappar mara tha.. sare apni apni jaga heran hoe the..
" agar usne bol hi dia tha jao tu kiyu gai wahi khari rehti ya yaha wapis ajati magar nahi tum bhi apni maa ki tarha hi nikli jisse ghar basana nahi aya.. "
Uski dadi ke alfaz pe uska dil aj phir tota tha.. usse aj pakka yaqeen hogaya tha yeh log nahi badal sakte..
" dadi yeh.. "
" amma ap.. "
Wo log bolne hi lage the jab zubia boli thi..
" meri maa ka naam aj Yun istarha le liye ainda mat lena "
Mudham awaz mai kaha gaya tha lekin itni awaz thi ke idhar mujood log sun pay..
" yeh tameez se tum meri maa se baat kar rahi ho "
Hashim sahab gusse se bole the or zubia ne unhe beyaqeeni se dekha tha..
" apki maa meri maa ke bare mai bol rahi hai or ab mai ek lafz nahi suno gi unke khilaf "
Zubia ne unki ankho mai ankhe dal kar bola tha jis par usse hashim sahab se ek zor dar thappar mila tha..
" baba "
Zayan or zohra ek sath bole the..
" chup Karo tum dono "
Un dono ke bolte hi hashim sahab ne unhe chup karne ka kaha tha..
" yeh tarbiyat ki hai tumhari maa ne tumhari "
Unho ne gusse mai bola tha.. maria ko bilkul acha nahi laga tha yeh sun kar wahi zubia ki hasi thi ( bitterly )..
YOU ARE READING
viraan
FanficASSALAMULAIKUM... HOW ARE YOU ALL.. HOPE YOU ALL ARE DOING WELL.. SO HERE I AM BACK WITH ANOTHER ROLERCOSTER " VIRAAN " It's a story of Zaigham and Zubia.. Be part of their rolercoster... What will happen when two right people meet at the wrong time...